💧💧
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
╔════≼𖧷☾︎✵☽︎𖧷≽════╗
*✰MASJID KE AHKAAM✰*
╚════≼𖧷☾︎✵☽︎𖧷≽════╝
*᯽•※ ✤⃟ PART -01✤⃟ •᯽※*
*·•●✿ Mehboob Tareen Jagah,*
*᯽ Masajid Wo Mehboob Tareen Jagaha Hai Jo Allah Ta'ala Ko Sabse Zyada Pyaari aur Pasandida Hai Yahi Vajah Hai ke Allah Ta'ala Ne Sabse Pehle Tamaam Masajid ki Asal Aur Maa'n Yani Kaaba Musharrafa Ka Abaad Farmaya, Jisko Rab e Kareem ne Apne Kalame Paak mai Yu'n irshad farmaya*
*إِنَّ أَوَّلَ بَيْتٍ وُضِعَ لِلنَّاسِ لَلَّذِي بِبَكَّةَ مُبَارَكًا وَهُدًى لِّلْعَالَمِينَ*
*📓Ref•Surah Aal-e-Imran, Aayat 96,*
*Tarjuma _Beshak Wo Pehla Ghar Jo logo ke liye qaa'im Kiya gaya Hai Wo Ghar Hai Jo Makka Mukarrama mai Hai Barkat aur Hidayat Wala Yani Baitullaah*
*᯽ Baaz mufassireen ne To yaha'n Tak Likha hai ke Zameen ki Paidaish ki ibtida Bhi isi Se Hui, Masajid Ka Allah Ta'ala ke Nazdeek Mehboob Hone ko Allah ke Habeeb ﷺ Ne in alfaz mai irshad farmaya*
*(Tarjuma Duniya ki jagaho mai se Sabse Mehboob Tareen Jagah Allah Ta'ala ke nazdeek Masajid hai'n aur Duniya mai Sabse mabgooz tareen jagah Bazaar hai'n (Muslim)*
✧═════•❁❀❁•═════✧
❣ *Next Part (02) In'sha Allah*❣
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
🫧🫧🫧
💧💧
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
╔════≼𖧷☾︎✵☽︎𖧷≽════╗
*✰MASJID KE AHKAAM✰*
╚════≼𖧷☾︎✵☽︎𖧷≽════╝
*᯽•※ ✤⃟ PART -02✤⃟ •᯽※*
*·•●✿ Allah Ta'ala Ka Ghar*
*᯽ Masajid Zikr v Ta'at ki gazr se banayi jati hai'n , isliye Wo Allah Ta'ala ke nazdeek Mehboob hai'n , Jo Cheez Allah Ta'ala ke nazdeek Jis qadar Mehboob hogi Usi qadar uski Tazeem v Toqeer aur Sharf mai izafa hoga*
*᯽ Chunache Masajid Ka Ahatraam hum per Waajib v Laazim Hai aur Masajid isliye bhi qabile Tazeem hai'n k unko Allah Ta'ala se Nisbat haasil Hai , Allah Ta'ala hi ki taraf mansoob Kar ke kaha Jata K " Baitullaah " Yani Allah Ta'ala Ka Ghar*
*᯽ Irshade Nabvi ﷺ Hai Beshak Allah Ta'ala ke Ghar Masajid hai'n*
*Tabrani*
*Matlab ye Hai k Masajid ko Allah Ta'ala se Khaas Nisbat haasil Hai, in per Allah Ta'ala ki Khaas tajalli hoti Hai , inme Anwaare ilaahiya paye Jate hai'n , inko zikr v Ta'at se Abaad karne walo walo per inki Kirne padti hai'n ,To jab Masajid ki nisbat Allah Ta'ala ki taraf Hai to Masajid ki azmat v Haqeeqat Allah Ta'ala ki azmat hogi aur Unki be hurmati Allah Ta'ala ki be hurmati hogi ,( iyaazbillaah*
✧═════•❁❀❁•═════✧
❣ *Next Part (03) In'sha Allah*❣
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
🫧🫧🫧
💧💧
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
╔════≼𖧷☾︎✵☽︎𖧷≽════╗
*✰MASJID KE AHKAAM✰*
╚════≼𖧷☾︎✵☽︎𖧷≽════╝
*᯽•※ ✤⃟ PART -03✤⃟ •᯽※*
*·•●✿ Tameere Masjid Musalmano Ka Haq Hai,*
*᯽Beshak zameen me Allah ta’aala ke ghar masjide’n he’n aur Allah ta’aala ke zimme haq he k Jo shakhs inme Allah ta’aala ki ziyarat ko jaye uska ikraam farmae’n Beshak Allah ta’aala ke gharo ko Abaad karne wale Allah ta’aala ke khaas log he’n,*
*Ref Jamia Sageer, 1/ 90-91,*
*᯽ Masjid lugat me Sazdagah ka naam he aur shari’at islaam ki istlaah me wo makhsoos jagah Jo Namaz ke liye waqf kar di jaye*
*Ref Sharah Mishkaat, 1/ 441*
*᯽Taamire Masjid sirf musalmano ka haq he, mushrikeen ko Tameere Masjid ka haq nahi,*
*᯽ Chunache musalmano per laazim he k kaafiro ko Tameere Masjid se rok de kyuki Masjide to Allah ta’aala ki ibadat ke liye banayi jati he’n pas Jo shakhs kaafir ho wo inko Tameer karne ka ahal nahi*
*(📓Tafseer Mazhari, 4/ 146)*
✧═════•❁❀❁•═════✧
❣ *Next Part (04) In'sha Allah*❣
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
🫧🫧🫧
💧💧
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
╔════≼𖧷☾︎✵☽︎𖧷≽════╗
*✰MASJID KE AHKAAM✰*
╚════≼𖧷☾︎✵☽︎𖧷≽════╝
*᯽•※ ✤⃟ PART -04 ✤⃟ •᯽※*
*·•●✿ Gair Muslimo ki Tameer karda Masjid Masjide Zaraar ( jo Munafiko ne Tameer ki thi) he Kaafir Napaak aur Masjido me unka dakhila mana he Ey imaan walo Mushrik to nire napaak he’n, pas wo is saal ke baad Masjide haraam ke qareeb bhi na aane paye,*
*Surah Tauba,, 28*
*᯽ Munafiqo ko Masjid se nikaal diya jaye Jo gair Muslim firqa munafqana tor per islaam ka daava karta ho usko Masjido se nikaal dena sunnat he*
*᯽ inke zimme ye bhi laazim he k islaam me dakhil hone ke liye Toheed v Risaalat ki shahadat ke baad un tamaam Aqaaid v Nazriyaat ke baatil hone ka iqraar kare Jo wo musalmano ke khilaaf rakhte he’n,*
*(📓Sharah Bukhari, 8/12,)*
✧═════•❁❀❁•═════✧
❣ *Next Part (05) In'sha Allah*❣
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
🫧🫧🫧
💧💧
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
╔════≼𖧷☾︎✵☽︎𖧷≽════╗
*✰MASJID KE AHKAAM✰*
╚════≼𖧷☾︎✵☽︎𖧷≽════╝
*᯽•※ ✤⃟ PART -05 ✤⃟ •᯽※*
*·•●✿ Masajid Sha'arar E Islam Masjid ka qibla rukh hona islaam ka sha’aar he,*
*᯽ Jo shakhs hamare Jaisi Namaz padhta ho, hamare qibla ki taraf moonh karta ho, hamara zibah khata ho, pas ye shakhs musalman he, jiske Liye Allah ka aur uske Rasool ka ahad he, pas Allah ke ahad ko mat todo*
*(📓Sahi Bukhari, 1/ 56)*
*☞ Mehraab _,*,
*᯽ Aur qibla rukh kisi alamat se maloom ho sakta he aur Shehro aur Abaadiyo me qibla ki alaamat wo Mehraabe he’n to Sahaba v Tabaeyn raziyallahu anhum ne banayi, pas bani hui Mehraabo me hum per unki pervi laazim he*
*Ref_$-Al bahr ul Raa’iq, 1/285*
*☞ Azaan__,*
*᯽ Masjid me azaan Namaz ki Dawat ke Liye di Jaati hai, Azaan islaam ka buland tareen Sha’aar hai aur ye k is Sha’aar me gumraah firqo ki mukhalfat ko malhooz rakha he*
*(Fatahul Qadeer, 1/ 16)*
✧═════•❁❀❁•═════✧
❣ *Next Part (06) In'sha Allah*❣
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
🫧🫧🫧
💧💧
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
╔════≼𖧷☾︎✵☽︎𖧷≽════╗
*✰MASJID KE AHKAAM✰*
╚════≼𖧷☾︎✵☽︎𖧷≽════╝
*᯽•※ ✤⃟ PART -06✤⃟ •᯽※*
*·•●✿ Madjid ke Minaar,*
*᯽ Masjid ki ek khaas alaamat Jo sabse numaya he, uske Minaar he’n,*
*᯽ Minaare Masjid ka doosra fayda ye he k Minaar dekh kar nawaqif aadmi ko masjid hone ka ilm ho jata he,*
*᯽Goya Masjid ki maroof tareen alamat ye he k usme qibla rukh Mehraab ho, Mimber ho, Minaar ho, waha azaan hoti ho, isliye gair Muslim ki ibadat gah me in cheezo ka paya Jana islaam ki toheen he,*
*(📓Aapke Masa'il aur Unka Hal)*
✧═════•❁❀❁•═════✧
❣ *Next Part (07) In'sha Allah*❣
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
🫧🫧🫧
💧💧
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
╔════≼𖧷☾︎✵☽︎𖧷≽════╗
*✰MASJID KE AHKAAM✰*
╚════≼𖧷☾︎✵☽︎𖧷≽════╝
*᯽•※ ✤⃟ PART -07 ✤⃟ •᯽※*
*·•●✿ Masjid mai Dakhil Hone Ke Adaab,*
*᯽ Masajid Ki Azmat Ko Baja lane aur Unki Behurmati se bachne ke liye Janabe Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne Bahut se Adaab v Ahkaam Taleem farmaye hai'n, Unme se Baaz Aham Adaab v Ahkaam Ka Zikr Kiya ja raha Hai Jinme Umuman kotahiya'n hoti Hai*
*᯽ Masjid mai Dakhil Hone Ke Waqt Pehle Daa'nya Paanv Andar Kare aur Ye Dua Padhe*
*_بِسْمِ اللّٰهِ وَالصَّلٰوةُ وَالسَّلَامُ عَلٰي رَسُوْلِ اللّٰهِ اَللّٰهُمَّ افْتَحْ لِيْۤ اَبْوَابَ رَحْمَتِكَ,*
*"_Bismillaahi Wassalaatu Wassalaamu Ala Rasoolillaahi , Allahum maftahli Abwaaba Rahmatika_,*
*Tarjuma_,*
. *Allah Ke Naam se Aur Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam per Salaat v Salam ho , Ey Allah mere Liye Apni Rahmat Ke Darwaze Khol dijiye*
*(📓 Mishkaat _ 1/68 Baab Masajid,)*
✧═════•❁❀❁•═════✧
❣ *Next Part (08) In'sha Allah*❣
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
🫧🫧🫧
💧💧
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
╔════≼𖧷☾︎✵☽︎𖧷≽════╗
*✰MASJID KE AHKAAM✰*
╚════≼𖧷☾︎✵☽︎𖧷≽════╝
*᯽•※ ✤⃟ PART -08 ✤⃟ •᯽※*
*·•●✿ Phir Ye Niyat Kare ke Jab Tak Masjid mai hu'n Mo'atkif rahunga , iske baad agar Makrooh Waqt na ho to 2 Raka'at" Tahiyatul Masjid " ki nifl Ada kare*
*Masla/ Makrooh Awqaat ke Siva jab bhi Masjid mai dakhil ho " Tahiyatul Masjid " masnoon Hai ,Waqti Namaz ke Saath iska Koi talluq nahi , Paancho Waqt ki Namaz ke liye dakhil hone ke baad agar Farz ya Sunnat Foran Shuru kare to Wahi " Tahiyatul Masjid" ke qaa'im muqaam hoga , Agar Takheer se Shuru kare to Tahiyatul Masjid" mustqil padhe*
*(📓Makhooz Ahsanul Fatawa _3/483)*
*Masla /Agar Baar baar masjid mai dakhil hona padhe to ek baar "Tahiyatul Masjid"Padna Sunnate Moqada Hai Chahe Pehli martaba dukhool mai padhe ya Aakhri martaba , Yahi El martaba padhna uske liye Din bhar ke liye Hai*
*(Makhooz Duure Mukhtaar ( 1/636),Ahsanul Fatawa -3/483)*
✧═════•❁❀❁•═════✧
❣ *Next Part (09) In'sha Allah*❣
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
🫧🫧🫧
💧💧
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
╔════≼𖧷☾︎✵☽︎𖧷≽════╗
*✰MASJID KE AHKAAM✰*
╚════≼𖧷☾︎✵☽︎𖧷≽════╝
*᯽•※ ✤⃟ PART -09 ✤⃟ •᯽※*
*·•●✿ Masjid Se Nikalne Ke Adaab ,*
*᯽ Masjid se Nikalte Waqt Baaya'n Paanv Pehle Nikaale Phir Daaya'n Paanv Nikaale*
*Fir Ye Dua Padhe*
*_بِسْمِ اللّٰهِ وَالصَّلٰوةُ وَالسَّلَامُ عَلٰي رَسُوْلِ اللّٰهِ اَللّٰهُمَّ اِنِّيْۤ اَسْئَلُكَ مِنْ فَضْلِكَ-*
*__ Bismillaahi Wassalaatu Alaa Rasoolillaahi Allahuma inni As'aluka min Fazlika _,*
*Tarjuma _*
*Allah Ke Naam se Aur Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam per Salaat v Salam ho , Ey Allah ! Mai'n Aapse Aapka Fazal maangta hu'n*
*(📓Mishkaat)*
*Masjid Ki Safaai Ka Ahatmaam*
*᯽ Masjid Ki Safaai Suthraai Ka ahatmaam karna Ummate Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ke liye Kis had tak zaruri hai iska andaza isse lagaya ja sakta Hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Banafs Nafees Masjid ki Safaai farmate they*
*᯽ Hazrat Yaqoob bin Zaid Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k , Janabe Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam masjid ke gardo gubaar ko khajoor ki tehni se Saaf kiya karte they*
*(📓Musannif ibne Abi Shayba ,1/398)*
*᯽ Isi tarah Hazrat Umar Farooq Raziyallahu Anhu Ke mutalliq manqool hai k Wo ek martaba ghode per sawaar ho Kar Masjide Quba Tashreef le gaye Usme Namaz padhi Fir Farmaya*
*᯽Ey Purqa ( Kisi Shakhs Ka naam Hai ) ! Mujhe Khajoor ki ek tehni laa Kar do ," Usne Laa Kar di , Aap Raziyallahu Anhu ne ek Kapde se Apni Kamar baandhi aur Tamaam masjid mai jhaadu di*
*(Musannif ibne Abi Shayba ,1/398)*,
*᯽isi tarah Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Meri Ummat ke A'amaal ke sawab Sab mere saamne pesh kiye gaye Yaha'n Tak ek esa Tinka k Jisko kisi Shakhs ne Masjid se nikaal diya ho uska sawab bhi pesh Kiya gaya aur Meri Ummat ke Saare gunaah bhi pesh kiye gaye ,Pas maine Koi Gunaah isse bada nahi dekha k Aadmi Qur'an Majeed ki Koi aayat Yaad Kar ke fir Bhool Jaye*
*(Mishkaat - Ba hawala Abu Daowd , Tirmizi)*
✧═════•❁❀❁•═════✧
❣ *Next Part (10) In'sha Allah*❣
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
🫧🫧🫧
💧💧
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
╔════≼𖧷☾︎✵☽︎𖧷≽════╗
*✰MASJID KE AHKAAM✰*
╚════≼𖧷☾︎✵☽︎𖧷≽════╝
*᯽•※ ✤⃟ PART -10 ✤⃟ •᯽※*
*·•●✿ Masjid mai Chhote Bachcho Ko Laana*
*᯽Masjid mai Chhote Bachcho Ko laane ki Shar'an ijazat nahi Hai isse Masjid Ka Adab v Ahatraam baqi nahi rahega aur Laane wale ko bhi itiminane qalb na rahega ,Namaz mai khade honge magar Khushu v Khuzu na hoga ,Bachcho ki taraf Dil laga rahega*
*᯽ Huzoor Aqdas ﷺ Ka irshad hai Apni Masjido ko Bachcho aur Paagalo se bachaao*
*Ibne Maaja*
*᯽isliye Fuqha Kiraam Reh. Farmate hai'n k Masjid Bachcho ko dakhil Karna agar isse Masjid ke najis hone Ka Andesha ho to Haraam Varna Makrooh Hai*
*᯽Haa'n Albatta agar Bachcha samajhdaar ho aur Namaz padhta ho ,Masjid ke Adaab v Ahatraam Ka paas v lihaaz rakhta ho to usko Masjid mai laane mai Koi harj nahi , galiban isi Bina per 7 saal ki qaid Hadees mai mojood Hai , Yani 7 Saal se Kam Umar ke Bachcho ko nahi laana chahiye ,isse badi Umar ke Bachcho ko Adaab v Ahatraam ki taleem de Kar laana chahiye , Wo Na-baalig Bachcho ki saf mai khada rahe agar Sirf ek hi Bachcha hai to wo Baaligo ki saf mai khada ho Sakta Hai Makrooh nahi*
*(📓Fatawa Rahimiya ,3/121)*
✧═════•❁❀❁•═════✧
❣ *Next Part (11) In'sha Allah*❣
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
🫧🫧🫧
💧💧
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
╔════≼𖧷☾︎✵☽︎𖧷≽════╗
*✰MASJID KE AHKAAM✰*
╚════≼𖧷☾︎✵☽︎𖧷≽════╝
*᯽•※ ✤⃟ PART -11 ✤⃟ •᯽※*
*·•●✿ Masjid mai Qur'an E Kareem Ki Taleem Dena*
*᯽Hazrat Mufti Shafi Sahaba Reh. Tehreee farmate hai'n Bachcho ko Qur'an Shareef Vagera Ujrat le kar Masjid mai Padhana bil ittefaaq na-Jaa'iz hai aur bila ujrat Mahaz sawab ke liye Baaz Fuqha ne ijazat di Hai*
*( Kazafil Ashbaah )*
*᯽Lekin baaz Fuqha isko bhi na-Jaa'iz samajhte hai'n Kyunki Ba Hukme Hadees Bachcho ko Masjid mai dakhil Karna hi na-Jaa'iz Hai*
*Hashiya Kazafil Ashbaah , Aadaabe Masajid -14,*
*᯽Albatta Madarse mai Jagah ki Tangi ho aur Ahle Madarsa Doosri jagah ke intezam ki koshish mai ho , Saddast doosri jagah Ka intezam na hone ki vajah se Bachcho ki taleem kharaab ho rahi ho Esi majboori ki Soorat mai Fuqha ne Kuchh Sharto ke Saath ijazat di Hai Mudarris Tankhwah ki Hawas ki bajaye guzar Awqaat ke liye ba-qadre zarurat wazifa per iktfa Kare Namaz ,Azkaar aur Tilawat e Qur'an vagera ibadaat mai khalal na ho*
*᯽Masjid ki Taharat v nazafat aur Adaab v Ahatraam ka poora Khayal rakha Jaye Kamsin Na-Samajh aur Aadaabe Masajid se Na-Waqif Bachcho ko na laya Jaye*
*(📓Ahsanul Fatawa-6/458 , Fatawa Rahimiya -9/200,)*
✧═════•❁❀❁•═════✧
❣ *Next Part (12) In'sha Allah*❣
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
🫧🫧🫧
💧💧
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
╔════≼𖧷☾︎✵☽︎𖧷≽════╗
*✰MASJID KE AHKAAM✰*
╚════≼𖧷☾︎✵☽︎𖧷≽════╝
*᯽•※ ✤⃟ PART -12 ✤⃟ •᯽※*
*·•●✿ Masjid mai Khushbu Lagana Masjid ki Tazeem mai ye Baat bhi dakhil hai k use Khushbu se mo'attar Kiya Jaye , Kyunki Masajid ko Paak Saaf aur Khushbudaar rakhna Shar'an Pasandida aur Matloob Hai Janabe Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam Ka hukm hai - Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se rivayat Hai k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne hukm farmaya k gharo mai Masjid banaao aur unko Paak aur Mo'attar rakha Jaye*
*(Mishkaat Baab Masajid -69,)*
*᯽ Salfe Saleheen Ki bhi yahi Sunnat thi k Masajid mai Khushbu lagate they aur Dhooni dete they, Chunache Hazrat Umar Raziyallahu Anhu Ke bare mai Hai k Unhone Hukm Jaari farmaya Tha k Madina ki Masjid mai har Juma ko Dopahar ke Waqt Dhooni di Jaye*
*(Zaadul Mu'aad -1/104)*
*᯽Masannif ibne Abi Shayba mai Hai k Hazrat Umar Raziyallahu Anhu khud har Juma ke Din Masjid mai Dhooni dete they*
*᯽ Afsos Hai k Aaj ye Sunnat bilkul Chhoot gayi Hai, Log Masjid ke andar tarah tarah ke Makrooh takallufaat karte hai'n ,Magar is Sunnat ki taraf bilkul tavajjoh nahi karte Aaj ye Sunnat bilkul Mar chuki Hai, Musalmano ko chahiye k is Sunnat ko fir se Zinda kare ,Chahe Atar istemal Kare Chahe Oad ki Dhooni de ,Agarbatti bhi Jala sakte hai'n, Albatta iska ahatmaam rahe k baahar Bahar Jala kar andar laya Jaye Taki Maachis ki gandhak ki boo se Masjid Mehfooz rahe ,*
✧═════•❁❀❁•═════✧
❣ *Next Part (13) In'sha Allah*❣
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
🫧🫧🫧
💧💧
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
╔════≼𖧷☾︎✵☽︎𖧷≽════╗
*✰MASJID KE AHKAAM✰*
╚════≼𖧷☾︎✵☽︎𖧷≽════╝
*᯽•※ ✤⃟ PART -13 ✤⃟ •᯽※*
*·•●✿ Masjid mai Badbudaar Cheez Dakhil Karne Ki Muma'anat*
*᯽ Kisi qism ki Badbudaar Cheez maslan Lahsun ,Pyaaz aur Mooli vagera ko Masjid mai Laana ya Unko Khaa Kar foran Masjid mai aana na-Jaa'iz hai , Janabe Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam Ka irshad hai Jo Shakhs Badbudaar darakht ( Yani Pyaaz vagera ) mai se khaye Wo hamari Masjid ke qareeb bhi na aaye isliye k Farishto ko bhi in Tamaam cheezo se iyza pahunchti Hai Jinse insaano ko iyza hoti Hai*
*(Bukhari v Muslim)*
*᯽Matlab ye Hai k Jab Tak iski Badbu Moonh se na Jaye us Waqt Tak Masjid mai dakhil na ho aur Yahi Hukm hai har Badbudaar Cheez Ka Jese Huqqa , Bidi , Lahsun vagera Jesa k Fuqha ki Mo'atbar Kitaabo mai mazkoor hai aur Tareeqa e Muhammadiya mai Mooli ko bhi is Hukm mai dakhil Kiya hai*
*(📓Aadaabe Masajid)*
✧═════•❁❀❁•═════✧
❣ *Next Part (14) In'sha Allah*❣
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
🫧🫧🫧
💧💧
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
╔════≼𖧷☾︎✵☽︎𖧷≽════╗
*✰MASJID KE AHKAAM✰*
╚════≼𖧷☾︎✵☽︎𖧷≽════╝
*᯽•※ ✤⃟ PART -14 ✤⃟ •᯽※*
*·•●✿ Aaj Kal Bahut se log isme gaflat karte hai'n, Cigarette pite pite Masjid Tak pahunch Jate hai'n fir isi tarah Namaz mai Shareek ho Jate hai'n , Jisse barabar mai khade Namaziyo ko bhi Sakht takleef hoti Hai aur Farishto ki iyza alag hai ,isi tarah Bahut se mazdoor pesha log mazdoori ke Kapde Jinse Paseena vagera ki Badbu hoti Hai, Unhi Kapdo mai Namaz mai Shareek ho Jate hai'n,Jisse Namaziyo ko takleef hoti Hai, Lihaza isse bachna Bahut zaruri hai*
*᯽ Cigarette ,Bidi ,Zarda Tambaaku vagera istemal Kiya ho to khoob achchhi tarah Moonh Saaf kare Phir Namaz ke liye aaye ,isi tarah Maila Kapda tabdeel Kar le Saaf surhre Libaas mai Namaz ke liye aana chahiye*
✧═════•❁❀❁•═════✧
❣ *Next Part (15) In'sha Allah*❣
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
🫧🫧🫧
💧💧
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
╔════≼𖧷☾︎✵☽︎𖧷≽════╗
*✰MASJID KE AHKAAM✰*
╚════≼𖧷☾︎✵☽︎𖧷≽════╝
*᯽•※ ✤⃟ PART -15 ✤⃟ •᯽※*
*·•●✿ Masjid mai Chhaati Ki Topi Rakhna*
*᯽ Aaj Kal baaz Masjido mai Chataai , Plastic ki topi rakhne ka dastoor Hai. Jabki Aisi Topiya'n Masjid mai rakhna Ahatraam e masjid ke khilaf hai ,bil khusoos jab ke Unke Tinke nikal Kar Masjid mai bikharte hai'n aur un per Mail Kuchel ki teh Nazar aati Hai aur Paseene aur Mail ki Badbu aati Hai ,Kya koi Shakhs Esi Topiyo'n ko Apne Makaan ki Zeenat banane ko taiyaar Hai ? Agar nahi to Khuda ke Ghar ke liye isko Kyu Jaa'iz qaraar diya ja sakta Hai ye Baat bhi sochne ki Hai k Jab Aap Chataai ya Plastic ki topi pehan Ka kisi Shaadi Byaah ki majlis ya kisi Afsar ke saamne nahi ja sakte to Masjid Allah Ta'ala Ka Sabse bada darbaar hai Yaha'n kese pehan Kar aa sakte ho ?*
*᯽ Isliye Chataai ki Topiya'n Masjid mai rakhna Jaa'iz nahi aur unko sar per rakh kar Namaz padhna Makrooh Hai , Kyunki Fuqha ne likha hai k Jo Libaas Pehan Kar insaan Kisi majlis mai Jane se sharmata ho ese libaas mai Namaz padhna Makrooh Tanzihi Hai ,is per dawaan Makrooh tehrima ke qareeb hai ,isliye ahatyaat Laazim Hai, Har Namazi ko chahiye k Apni Saaf suthri topi rakhe Kyunki nanga sar Namaz padhna bhi Makrooh Hai ,*
✧═════•❁❀❁•═════✧
❣ *Next Part (16) In'sha Allah*❣
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
🫧🫧🫧
💧💧
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
╔════≼𖧷☾︎✵☽︎𖧷≽════╗
*✰MASJID KE AHKAAM✰*
╚════≼𖧷☾︎✵☽︎𖧷≽════╝
*᯽•※ ✤⃟ PART -16✤⃟ •᯽※*
*·•●✿ Masjid mai Talba Ka Takraar v Mutal'a*
*᯽ isme ek Masla to Bijli istemal karne Ka hai Chunki Chande walo ki taraf se Umooman ijazat hoti Hai k Apne Chande ko Talba ki zarurat mai kharch kare , isliye iski ijazat hogi*
*᯽ Doosra Masla Jo Aham bhi hai aur khatarnaak bhi hai Wo Masjid ke Adaab v Ahatraam ka lihaaz karna , isme Umooman Talba Susti karte hai'n, Chunki Baar baar masjid mai haazri hoti Hai, isliye masjid ki azmat Unke Dilo se nikal jati hai ,isliye Adaab v Ahatraam ka bilkul lihaaz nahi hota , Har tarah ki baate Shor v Shagab Hattaki Ladaai Jhagde ki nobat aa jati hai Al ayaaz bilaah*
*᯽ Talba iska Khaas Khayal rakhe k Kam se Kam din mai ek martaba " Tahiyatul Masjid " padh le aur Jab bhi dakhil ho A'itkaaf ki Niyat Kar le , Do Chand Martaba " Subhanallahi Wabihamdihi Astagfirullahi Wa Atubu ilayhi " Padh le aur har qism ke shor v Shagaf aur Behooda Baato se parhez kare , aur Ahle Madarsa Talba se in Baato ki pabandi karaye*
✧═════•❁❀❁•═════✧
❣ *Next Part (17) In'sha Allah*❣
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
🫧🫧🫧
💧💧
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
╔════≼𖧷☾︎✵☽︎𖧷≽════╗
*✰MASJID KE AHKAAM✰*
╚════≼𖧷☾︎✵☽︎𖧷≽════╝
*᯽•※ ✤⃟ PART -17 ✤⃟ •᯽※*
*·•●✿ Khaas Khaas Raato mai Maslan Ramzan mai khatme Qur'an ki Raat ( Shabe Qadr ) mai zyada Battiya ( Bulbs ) ya Qandeel ( Decorations ) vagera Karna , Pandrhvi Shabaan ( Shabe Bara'at ) ki Raat , Sattaisvi Rajjab Ki Raat isi tarah digar Mashoor Raato mai Masjido mai zyada Roshni Ka intezam Karna Bid'at aur na-Jaa'iz Hai*
*᯽ Kyunki isme Riya Namood ( Dikhawa ) israaf Fizool kharchi ke alawa aur bhi bahut se mufasid per mushtamil hai aur Majoos ki ibaadat aur Hindu'o ki Diwali ke Saath Mushabhat Hai aur Hadees mai Kaafiro ke Saath Mushabhat paida karne per Sakht wa'iyd aayi Hai Jo Shakhs Kisi qaum ke Saath Mushabhat Akhtyar kare Wo Unhi mai se hai*
*( Ravaah Ahmad )*
*᯽ Doosri Baat isme Charaaga ki vajah se Chhote Bachche aur Na Ahal log jama ho Kar Shor karte hai'n , Lihaza har tarah ke Charaaga se ijtinaab Karna chahiye*
✧═════•❁❀❁•═════✧
❣ *Next Part (18) In'sha Allah*❣
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
🫧🫧🫧
💧💧
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
╔════≼𖧷☾︎✵☽︎𖧷≽════╗
*✰MASJID KE AHKAAM✰*
╚════≼𖧷☾︎✵☽︎𖧷≽════╝
*᯽•※ ✤⃟ PART -18 ✤⃟ •᯽※*
*·•●✿ Masjid mai Jagah Rokne Ke Liye Rumaal Vagera rakh dena*
*᯽ Agar Koi Shakhs Masjid mai aa kar Kisi jagah kuchh der beth gaya fir Koi fori zarurat pesh aayi Jisko poora karte hi lot kar aayega , Maslan Thookna ,Naak Saaf karna ,Vazu Karna vagera aur Jaate Waqt Apni jagah Kapda rakh Kar Chala gaya to isme muz'aqa nahi aur doosre Shakhs ko uski jagah bethna bhi munasib nahi*
*᯽ Aur agar Shuru hi se Kapda Kapda rakh de aur Apne Karobaar mai masgool rahe aur Namaz ke Waqt per aa kar Apni jagah per qabza jama le to ye gair mustahsan Hai ( Yahi Hukm Mo'azzin ke liye Musalla bichhane Ka Hai*
*᯽ Aisi haalat mai Doosre Shakhs ko Tangi ki vajah se jagah mayassar na aaye to uske Kapde ko hata kar bethna durust hai ,Magar haath se na hataaye Varna zamaan mai dakhil ho jayega , Agar ( Jagah ki ) Tangi na ho balki wus'at ho To Doosri jagah beth Jaye*
*(📓Fatawa Mehmoodiya Ba hawala Durre Mukhtaar)*
✧═════•❁❀❁•═════✧
❣ *Next Part (19) In'sha Allah*❣
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
🫧🫧🫧
💧💧
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
╔════≼𖧷☾︎✵☽︎𖧷≽════╗
*✰MASJID KE AHKAAM✰*
╚════≼𖧷☾︎✵☽︎𖧷≽════╝
*᯽•※ ✤⃟ PART -19 ✤⃟ •᯽※*
*·•●✿ Masjid Ke Saamne Baaja Vagera Banana*
*᯽ Gaana Bajana Aam Halaat mai bhi gunaahe azeem hai khaas Tor per ye Kaam jab Masjid ke Saamne ho to iski shana'at v qabahat aur bhi badh jati hai , Kyunki Koi bhi esa Kaam Karna Jisse Namaziyo ki Namaz mai khalal aata ho ya usse Masjid ki be hurmati ho Shar'an mana hai ,To Gaana Bajana Ba Tareeqe Awla Haraam hoga Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Gaana Sunna Gunaah hai aur Uske paas bethna Fisq hai aur isse lazzat haasil karna Kufr Hai*
*᯽Rasoollulah ﷺ ne irshad farmaya Hai k Aakhri Zamane mai Meri Ummat ke kuchh logo ki Soorte Maskh kar ke Bandar aur Suwar bana diya jayega , Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne arz Kiya- Ya Rasulallah ! Kya Wo Musalman honge ? To irshad farmaya k Haa'n woh is Baat ki gawahi dene wale honge k Allah ke Siva Koi ma'abood nahi aur Mai'n Allah ka Rasool hu'n ( Yani Musalman honge ) aur Roze bhi rakhte honge*
*᯽ Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne arz Kiya - Ya Rasulallah ! Fir unka qusoor Kya hoga Irshad farmaya k Woh Gaane bajane ke alaat aur Gaane bajane wali Aurto'n aur Dhol baaje bajane mai mashgool honge ,aur Sharaab piya karenge , Woh Raat isi tarah Sharaab pine aur Doosre khail Kood mai guzaarenge ,Jab Subeh ko uthenge to Unke chehre Maskh ho chuke honge*
*(📓Ravaah Musaddid v ibne Hibaan ,)*
✧═════•❁❀❁•═════✧
❣ *Next Part (20) In'sha Allah*❣
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
🫧🫧🫧
💧💧
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
╔════≼𖧷☾︎✵☽︎𖧷≽════╗
*✰MASJID KE AHKAAM✰*
╚════≼𖧷☾︎✵☽︎𖧷≽════╝
*᯽•※ ✤⃟ PART -20✤⃟ •᯽※*
*·•●✿ Baaz Log Wazu vagera Ke Baad Daadhi ke Baalo ko Durust karne ke liye Masjid mai hi Kanghi kar lete hai'n, Shar'an isme Koi qabahat nahi Albatta is Baat Ka Khayal rakha Jaye k Baal Masjid mai na gire Agar Koi Baal gir Jaye ya Toot Jaye to usko Jeb mai rakh le*
*(📓Makhooz- Fatawa Mehmoodiya,1/481)*
*Gair Abaad Masjid Ka Samaan*
*Jo Masjid Gair Abaad*
*᯽Ho chali hai k waha'n Namaz Padhne ki Koi Soorat nahi rahi to Shar'an Laazim K us jagah ko Mehfooz Kar diya Jaye*
*᯽Mifta Ba qaul ke mutabiq wo jagah Hamesha Masjid hi rahegi , Uska Samaan Doosri Masjid mai muntaqil kar diya Jaye Agar Samaan Doosri Masjid mai Kaaramad na ho to Arbaabe Hal v Aqd ki raay se usko farokht kar ke qeemat doosri Masjid mai sarf Kar diya Jaye*
*(📓Fatawa Mehmoodiya Ba hawala Shaami )*
✧═════•❁❀❁•═════✧
❣ *ALHAMDULILLAH MUKAMMAL POST*❣
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
🫧🫧🫧
No comments:
Post a Comment