🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (01)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Seerat: Hamaare pyaare Nabi Hazrat Muhammad ﷺ ki zindagi ke haalaat ko _"Seerat"_ kehte hain.*
*Al Qur'aan: Haqeeqat yeh hai ke tumhaare liye Rasoolullah ﷺ ki zaat mein ek behtareen namoona hai.*
*(📓Sure-e-Ahzaab: 21)*
*Hadees : Rasoolullah ﷺ ne farmaaya : Tum mein se koi shakhs us waqt tak kaamil momin nahin ho sakta jab tak ke main us ke nazdeek us ke waalidain, bachchon aur tamaam logon se ziyaada mahboob na ho jaaoon.*
*(📓Bukhaari: 15)*
*★ Allah Ta'ala ne Nabi-e-Kareem ﷺ ko qayaamat tak aane waale insaanon ki hidaayat ke liye bheja hai, hamaare Nabi ﷺ ki seerat hamaare liye mukammal rahnuma hai, is se hamein maaloom hoga ke hamaara Deen kin kin maraahil se guzra, hamaare Nabi ﷺ ne is ki hifaazat, baqa aur logon tak pohnchaane ke liye kitni takleefein bardaasht keen aur Allah Ta'ala ne kis tarah madad Farmaye*
*(📓Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (02) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (02)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Targeebi Baat*
*★ Huzoor ﷺ ki zindagi Qayaamat tak aane waale insaanon ke liye ek amali aur misaali namoona hai, us mein insaan ki infiraadi wa ijtimaai zindagi ke tamaam goshon ki saaf saaf rehnumaai maujood hai, insaan ki zindagi ka koi gosha aisa baaqi nahin hai jis mein Aap ﷺ ne rehnumaai na farmaai ho.*
*★ Rasoolullah ﷺ ki be'asat se pehle poori insaaniyat ijtimaai wa infiraadi taur pe pasti wa tanazzuli ka shikaar thi, rooe zameen par koi qaum aisi na thi, jo mizaaj ke etebaar se saaleh wa nek ho, aur na aisi koi society aur na muaashara tha, jo sharaafat-o-akhlaaq ke aalaa martabon ka haamil ho, na aisi koi hukoomat thi jis ki buniyaad adl-o-insaaf aur rahem-o-karam par mabni ho aur na koi aisa sahi Deen tha, jo insaanon ko seedha raasta bata sake.*
*★ Huzoor ﷺ ki be'asat ke baad sirf 23 saal ke arse mein poori insaaniyat ko pasti wa gumraahi ke daldal se nikaal baahar kiya, Aap ﷺ ne insaaniyat ko nayi zindagi, nayi roshni aur nayi taaqat ata ki aur umda tehzeeb, nek muaashara aur adl-o-insaaf par mabni Deen-o-mazhab ata farmaaya aur huqooqullah aur huqooqul ibaad se logon ko aagaah kiya, namaz rozah, khaana peena, sona jaagna, shaadi biyaan, jeena marna, tijaarat wa kaarobaar wagaira ka umda tareeqa bataaya, algarz zindagi ke mod par Aap ﷺ ne insaanon ki mukammal rehnumaai Farmaayi*
*(📓Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (03) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (03)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Targeebi Baat*
*★ Huzoor ﷺ ki paakeezah zindagi ke mutaabiq zindagi guzaarne se hi insaan haqeeqi maanon mein insaan banta hai aur isi se Allah Ta'ala aur us ke Rasool ﷺ ki sachchi mubabbat haasil hoti hai. Aur duniya wa aakhirat mein haqeeqi kaamyaabi naseeb hoti hai.*
*★ Huzoor ﷺ ki paakeezah zindagi se rukh mod kar gairon ke taur tareeqa ikhtiyaar karna badi badbakhti aur mehroomi ki baat hai, duniya mein tabaahi wa barbaadi aur aakhirat mein naakaami ka sabab hai. Is liye zaroori hai ke ham Aap ﷺ ki seerat aur aap ﷺ ke buland akhlaaq wa aala sifaat se waaqif hon aur apni infiraadi wa ijtimaai zindagi mein hamesha us par amal karne ki koshish karein.*
*★ Is unwaan ke tahat aasaan ansaaz mein Nabi-e-Kareem ﷺ ki Makki zindagi ke haalaat mukhtasaran diye gaye hain. Yeh asbaaq is tarah padhaaye jaayein ke Huzoor ﷺ ki zindagi ka mukammal naqsha zahen nasheen ho jaaye.*
*★ Seerat ki tafseeli jaankaari ke liye bawaqte zaroorat moatabar musannifeen ki likhi hui kitaabon ki taraf ruju karein ke is mazmoon ke tahat jo seerat di gai hai woh un hi kitaabon se maakhooz-o-mustafaad hai.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (04) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (04)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Hamare Nabi ﷺ Se Pehle*
*★ Ab se koi chauda sau saal pehle ki baat hai, duniya ka bahot bura haal tha. Har taraf loot maar, chori, jhoot, dhoka, fareb, juva, sharaab, be sharmi aur be hayaai phaili thi. Poori duniya mein kufr aur shirk ka andhera chhaaya huwa tha. Allah ki marzi bataane waala koi Rasool na tha, Rasool sab ja chuke the, duniya waale gumraah ho gaye the, Allah ke baagi ban gaye the, Rasoolon ki ta'aleem bhula bhethhe the, Allah ka raasta chhod chuke the, apni man maani karte, ya apne jaise aadmiyon ka hukm maante, ya khaandaan aur biraadari ke rasm-o-riwaaj par chalte,*
*★ Allah ki kitaabein bigaad di theen, un mein apni apni baatein mila rakhi theen, Log patthar ke but bana kar poojte, devi devtaaon ko poojte the, un ke naam par jaanwar zabah karte, mannat maante, chadhaawe chadhaate, ped, Pahaad, nadi, naale, jaandaar aur be jaan sab un ke ma'abood the. Garz jitne aadmi the utne hi raaste ho gaye the.*
*★ Allah ka deen chhodne ka yahi nateeja hota hai. Jab duniya waale bahot ziyaada bigad gaye, bilkul hi gumrah ho gaye, to Allah ko un par raham aaya aur un ki hidaayat ke liye donon jahaan ke sardaar Hazrat Muhammed ﷺ ko bheja.*
*(📓Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (05) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (05)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Hamare Nabi ﷺ ki Paidaaish*
*★ Pyaare Rasool ﷺ Rabeeul Awwal ke maheene mein mutaabiq 571 Iswi do shamba (Peer) ke roz paida huwe. Yeh taareekh-e-insaaniyat ka sab se mubarak din tha.*
*★ Aap ﷺ shaher Makka mein paida huwe, Makka Arab desh ka ek mash'hoor shaher hai. Allah ka paak ghar Ka'aba isi shaher mein hai. Arab hamaare yahaan se door bahot door samandar paar ek mulk hai, yeh mulk hamaare yahaan se pachchhim (West) ki taraf hai.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (06) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (06)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Hamaare Nabi ﷺ ka*
*Nasab Shareef*
*★ Nabi-e-Kareem ﷺ ka nasab mutahhar tamaam duniya se ziyaada shareef aur paak hai aur yeh woh baat hai ke tamaam Kuffaar-e-Makkah aur Aap ﷺ ke dushman bhi is se inkaar na karsake. Abu Sufyaan (Raziyallahu Anhu) ne bahaalat-e-kufr Shaah-e-Room ke saamne is ka iqraar kiya haanlaake woh us waqt chaahte the ke agar koi gunjaaish mile to Aap par aib lagaaein.*
*★ Aap ka nasab shareef waalid maajid ki taraf se yeh hai : Muhammed bin Abdullah bin Abdul Muttalib bin Haashim bin Abd-e-Munaaf bin Qusai bin Kilaab bin Murrah bin Ka'ab bin Luwai bin Gaalib bin Fahar bin Maalik bin Nazar bin Kanana bin Khuzaima bin Mudraka bin Ilyaas bin Muzir bin Nazaar bin Ma'ad bin Adnan.*
*★ Yahan tak silsila-e-nasab ba ijmaaye ummat saabit hai aur yahaan se Hazrat Aadam (Alaihisalaam) tak ikhtelaaf hai. Is liye usko tark kiya jaata hai.*
*★ Aur waalida maajida ki taraf Aap ka nasab yeh hai Muhammed bin Aamina binte Wahab bin Abd-e-Munaaf bin Zohra bin Kilaab. Is se maaloom huwa ke kilaab bin Murrah mein aap ke waalidaihn ka nasab jama ho jaata hai.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book*)
*NEXT PART (07) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (07)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Hamaare Nabi ﷺ ka khaandaan*
*★ Us mulk mein bahot se qabeele the, Quraish ka qabeela un mein sab se ziyaada izzat waala qabeela tha. Usi qabeele ke log Ka'aba ki khidmat karte the, saara Arab Quraish ki izzat karta tha. Pyaare Rasool ﷺ usi qabeele se the.*
*★ Aap ﷺ ke qabeele mein baaz bahot mash'hoor aadmi guzre hain, un mein ek Qusai the. Qusai apne qabeele ke sardaar the, Haj ke mauqe par saare haajiyon ko apna mehmaan banaate, teen din tak unhein muft khaana khilaate. Qusai ki aulaad mein Haashim bahot mash'hoor hain. Qabeele ke tamaam logon mein un ki badi izzat thi, Haashim bahot bahaadur aur sakhi the.*
*★ Ek baar qahat pada, Haashim ne apne paison se bahot ziyaada galla khareeda aur logon mein muft taqseem karaaya. Haashim ke kai bete the, un mein sab se mash'hoor Abdul Muttalib the, yeh bhi apne qabeele ke sardaar the.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (08) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (08)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Hamaare Nabi ﷺ ka khaandaan*
*★ Arab mein paani bahot kam hai, Makkah waalon ke liye “Zam Zam ka kunwa” Allah Ta'ala ki bahot badi nemat hai, magar ek arse se woh mitti se bhar kar zameen ke baraabar ho gaya tha. Kisi ko yeh khabar na thi ke woh kahaan hai, Abdul Muttalib ne koshish kar ke pata lagaaya. Badi mehnat se use saaf karaaya. Makkah waalon ko paani ki aasaani ho gai, is ehsaan ki wajah se Makkah ke log un ki badi qadr karte the.*
*★ Abdul Muttalib ke kai bete the. Un mein sab se chhote aur chaheete Abdullah the. Yahi Abdullah pyaare Rasool ﷺ ke abbu miyaan the. Abdullah ki shaadi Bibi Aamina se hui thi. Bibi Aamina Pyaare Rasool ﷺ ke ammi jaan theen.*
*★ Abdullah pyare Rasool ﷺ ki paidaaish ke kuchh din pehle hi inteqaal farma chuke then. Daada miyaan Abdul Muttalib zinda the, unhon ne hamaare Nabi ﷺ ki paidaaish ki khabar suni, to bahot khush huwe, ghar aaye, pote ko god mein liya, pyaar kiya, Ka'aba mein le gaye, wahaan dua maangi, Muhammad naam rakha, saatwein din aqeeqa kiya, sab ki da'awat ki, logon ne poochha yeh naam kyun rakha, bole main chaahta hoon ke mere bete ki saari duniya ta'areef kare, Allah ne un ki aarzu poori ki. Darood ho pyare Rasool par, salaam ho pyaare Rasool par.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (09) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (09)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Hamaare Nabi ﷺ ka bachpan*
*★ Makkah ka riwaaj tha ke log bachchon ko dehaat bhej dete. Waheen un ki parwarish hoti. Aap ﷺ ki ammi jaan ne bhi Aap ﷺ ko dehaat bhej diya. Hazrat Haleema Raziy allahu Anha ne Aap ki parwarish ki. Hazrat Haleema Raziyallahu Anha ke qabeele ka naam “Bani Sa'ad” tha is liye un ko Haleema Sa'adiya kehte hain. Woh bahot nek Bibi theen. Aap ﷺ ne un ka doodh piya.*
*★ Khuli hawa mein pale badhe, khoob tandrust huwe. Saaf suthri boli seekhi, do saal baad Makkah aaye, ammi jaan ne dekha, bahot khush huween, Makkah mein beemaari phaili thi, ammi jaan ne Hazrat Haleema Raziyallahu Anha ke saath Aap ﷺ ko phir bhej diya.*
*★ Jo Aap ﷺ ki bholi soorat dekhta Aap ﷺ ko pyaar karta, Aap ﷺ ki meethhi baatein sunta, khush hota. Aap ﷺ Bibi Haleema Raziyallahu Anha ke bachchon se muhabbat karte the, woh bhi Aap ﷺ se muhabbat karte, apne saath khel mein shareek karte, bakriyaan charaane jaate to Aap ﷺ ko apne saath le jaate.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (10) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (10)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Hamaare Nabi ﷺ ka bachpan*
*★ Chaar saal ke huwe to ammi jaan ke paas waapas aagaye. Ammi Aap ﷺ ko dekh kar bahot khush huween, muhabbat se paalne lageen. Chhe saal ke huwe to Aap ﷺ ko le kar maike gayeen, raaste mein beemaar ho kar chal baseen. Maan baap donon ka saaya sar se uthh gaya.*
*★ Umme Aiman Aap ﷺ ko daada miyaan ke paas laayeein, daada miyaan ko bahot dukh huwa. Kya karte marna jeena Allah ke ikhtiyaar mein hai, aai hui ghadi ko kaun taal sakta hai.*
*★ Bade ho kar pyaare Rasool ﷺ ek baar maqaam-e-“Abwa” se guzre, ammi jaan ki qabr dekh kar Aap ﷺ ka dil bhar aaya. Aap ﷺ ki aankhon mein aansu dekh kar sahaaba bhi rone lage.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (11) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (11)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Hamaare Nabi ﷺ ki parwarish*
*★ Daada miyaan Aap ﷺ ko bahot pyaar karte, daada miyaan ne Aap ﷺ ki parwarish ki. Bahot muhabbat se paala, aathh saal ke huwe to daada miyaan bhi chal base. Marte waqt daada miyaan ne Aap ﷺ ko Abu Taalib ke hawaale kiya.*
*★ Abu Taalib Aap ﷺ ke chacha jaan the, Aap ﷺ ke kai chacha the, Abu Taalib un sab mein achchhe the, Aap ﷺ se muhabbat karte, hamesha saath liye phirte, pyaar karte, kisi tarah ki takleef na hone dete, safar mein bhi Aap ﷺ ko saath rakhte.*
*(📗Ref: Deeniyat Course Book)*
*NEXT PART (12) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (12)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Hamaare Nabi ﷺ ki jawaani*
*★ Pyaare Rasool ﷺ chacha jaan ke saaye mein pale badhe, rafta rafta jawaan huwe , jawaani mein Aap ﷺ sab se achchhe the.*
*★ Arab ke jawaan aapas mein ladte bhidte, Aap ﷺ ladaai se hamesha door rehte. Aksar log sharaab peete, juva khelte, bure bure kaam karte, Aap ﷺ un cheezon ko bura samajhte, gareebon ko khaana khilaate, mazdooron ki madad karte, kamzoron ka saath dete.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (13) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (13)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Hamaare Nabi ﷺ ki Tijaarat*
*★ Chacha jaan tijaarat karte the, Aap ﷺ bhi tijaarat karne lage, tijaarat ko Aap bahot Achchha samajhte the. Aap ﷺ bahot achchhe taajir the.*
*★ Hamesha sach bolte, jhoot ke paas na jaate, sab Aap ﷺ ko “Saadiq” kehte. Aap ﷺ muaamla saaf rakhte, bahot amaanatdaar the, sab Aap ﷺ ko "Ameen" kehte, sab Aap ﷺ ki izzat karte, sab Aap ﷺ par bharosa karte, ghar ghar Aap ﷺ ki amaanatdaari aur sachchaai ka charcha tha.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (14) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (14)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Shaam (Syria) ka Safar*
*★ Makkah mein ek maaldaar khaatoon theen, un ka naam “Khadeeja” tha. Bibi Khadeeja Raziyallahu anha bewa theen, un ke shohar marchuke the. Un ka bada kaarobaar tha, tijaarat ke liye logon ko rupya deteen aur unhein nafe mein shareek kar leteen.*
*★ Pyaare Rasool ﷺ ki amaanat-daari aur sachchaai ka charcha suna, to Bibi Khadeeja ne khwaahish ki ke Aap un ka maal-e-tijaarat le kar safar par jaayein. Aap ﷺ ne manzoor farma liya aur Bibi Khadeeja ke gulaam Maisara ko le kar Shaam (Syria) ke safar par rawaana huwe. Aap ne badi mehnat, aqalmandi aur sachchaai se kaam kiya.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (15) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (15)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Hamaare Nabi ﷺ ka Nikaah*
*★ Hamaare Nabi ﷺ bahot sa nafa kama kar Shaam ke safar se laute, paayi paayi ka hisaab diya. Bibi Khadeeja Raziyallahu anha nek theen, Aap ﷺ ki achchhaaiyaan dekh kar bahot khush hueen, phir Maisara gulaam ne bhi Aap ﷺ ki Imaandaari, neki, logon ke saath hamdardi aur muhabbat ka aankhon dekha haal bayaan kiya.*
*★ Bibi khadeeja Raziyallahu Anha bahot mutassir huween, khud nikaah ka paigaam diya, Aap ﷺ tayyaar ho gaye. Chacha jaan aur Quraish ke kuchh aur logon ko saath le kar Bibi Khadeeja Raziyallahu Anha ke makaan par pahonche aur nikaah ho gaye. Us waqt Aap ﷺ pachchees saal ke the, Bibi Khadeeja Raziyallahu Anha ki umr chaalees saal thi.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (16) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (16)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Amn ki koshish Aur Hajr-e-Aswad ka faisla*
*★ Ek dafa ka Zikar hai ka'aba ki marammat ho rahi thi, puraani deewaarein tod kar banaai ja rahi theen, ek deewaar mein Hajr-e-Aswad laga huwa tha, yeh ek kaala patthar tha, yeh patthar Hazrat Ibrahim عليه السلام ki yaadgaar tha, sab us ko mutabarrak samajhte the. Jab deewaar mein us patthar ko chunne ka waqt aaya, to aapas mein jhagda hone laga. Har shakhs yeh chaahta tha ke yeh mutabarrak patthar main lagaaoon. Qareeb tha ke khoon kharaaba ho jaaye, aakhir taye huwa ke jo shakhs kal subah sab se pehle ka'aba mein aaye, usi ka faisla maan liya jaaye.*
*★ Allah ka karna aisa huwa ke doosre din sabse pehle Pyaare Rasool ﷺ hi Ka'ba mein tashreef laaye. Sab ko Aap ﷺ par bharosa tha, sab ne Aap ﷺ ko faisal maan liya. Aap ﷺ ne bada achchha faisla kiya. Ek chaadar li, us mein Hajr-e-Aswad ko rakha, har qabeele ke sardaar ko ek ek kinaara pakadne ko kaha, sab ne mil jul kar uthhaaya , jab patthar wahaan tak le aaye jahaan use rakhna tha. Aap ﷺ ne use uthha kar deewaar mein laga diya. Is tarah har qabeele ko is kaam mein shareek hone ka mauqa mil gaya.*
*(📓Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (17) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (17)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Aap Nabi hote hain*
*★ Makkah ke qareeb ek pahaadi thi. Us pahaadi ka naam Hira tha. Pahaadi mein ek gaar tha. Aap ﷺ Gaar-e-Hira mein jaate, sattu paani saath le jaate, kayi kayi din tak wahaan tanha rehte, Allah Ta'ala ki ibaadat karte, logon ki bhalaai ki tadbeerein sochte, buraaiyon ko mitaane aur nekiyon ko phailaane ke raaste dhoondte. Jab sattu paani khatm ho jaata, to phir ghar aate sattu paani lete aur laut jaate.*
*★ Umr ke chaaleeswein saal jab ke Aap Gaar-e-Hira mein tashreef farma the, Allah ke qaasid Hazrat Jibraeel عليه السلام Allah ka kalaam le kar aaye, jis ko "Wahi" kehte hain. Hazrat Jibraeel عليه السلام ne Aap ko bashaarat di ke Aap Allah ke Rasool hain phir kaha padhye. Arab mein us waqt padhne padhaane ka riwaaj kam tha is liye Huzoor ﷺ bhi likhna padhna nahin jaante the, Aap ne farmaaya : Main padha huwa nahin hoon.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (18) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (18)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Aap Nabi hote hain*
*★ Hazrat Jibraeel عليه السلام ne Aap ko seene se laga kar bahot zor se dabaaya aur kaha : Padhye, Aap ne farmaaya : Bhai mujhe padhna nahin aata, Hazrat Jibraeel عليه السلام ne teen martaba dabaaya aur chhoda aur har baar yahi kehte the ke padhye aur Huzoor ﷺ baraabar yahi farmaate rahe ke main padhna nahin jaanta.*
*Aakhir Hazrat Jibraeel عليه السلام ne kaha padhye.*
*اِقْرَأْ بِاسْمِ رَبِّكَ الَّذِي خَلَقَ*
*★ Is wahi ka naazil hona tha ke Huzoor ﷺ par risaalat ka bojh pad gaya aur Aap khauf wa haibat se kaanp uthhe aur hai bhi yeh baat ke sainkdon baras ke gumraahon ko raah par lagaana aur sainkdon buton ke pujaariyon ko Allah ka khaalis banda banaana, aasaan kaam nahin hai.*
*★Aap ghabraaye huwe ghar tashreef laaye aur apni sachchi hamdard beewi se tamaam waaqia bayaan kiya. Bibi khadeeja RaziyAllahu anha ne dhaaras bandhaai, boleen : "Aap ghabraate kyun hain Allah aap ko zaaye na hone dega. Aap neki karte hain, sadqa dete hain, gareebon ki madad karte hain, yeteemon bewaaon ko sahaara dete hain, mehmaanon ki khaatir karte hain, logon ka bojh uthhaate hain, dukhyon ko sahaara dete hain, Aap ko kis cheez ka dar hai?*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (19) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (19)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Allah ka Paigaam*
*★ Jab Hazrat Jibraeel عليه السلام Allah ka paigaam le kar aaye, to Aap ﷺ ne pohanchaana shuru kiya. Aap ﷺ logon se kehte : "Allah ek hai, wahi sab ka khaaliq hai, Raaziq aur Haakim hai, usi ka hukm maano, usi ki ibaadat karo. Main Allah ka Rasool hoon, meri pairwi karo, buraaiyon se bacho, bhale kaam karo, Allah tum se khush hoga, rehne ko Jannat dega, bure aadmiyon se Allah naaraaz hoga, bahot hi sakht saza dega."*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (20) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (20)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Pehle Imaan Laane Waale*
*★ Nek log Aap ki baat maan gaye. Hazrat Abu Bakr Siddiq RaziyAllahu Anhu Aap ﷺ ke gehre dost the, mardon mein sab se pehle woh Imaan laaye. Hazrat khadeeja RaziyAllahu Anha Aap ki nek bibi theen, aurton mein sab se pehle woh Imaan laayeen.*
*★ Hazrat Ali RaziyAllahu anhu Aap ke chacha zaad bhaai the, ladkon mein sab se pehle woh Imaan laaye. Hazrat Zaid RaziyAllahu Anhu Aap ke gulaam the, gulaamon mein sab se pehle woh Imaan laaye. Yeh chaaron bahot nek the, Aap ﷺ ke saath rehte the, Aap ﷺ ki achchhaaiyon se waaqif the, sunte hi sach jaana, fauran Imaan le aaye, Allah ta'ala un sab se raazi ho.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (21) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (21)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Pahaadi ka wa'az*
*★ Kuchh din baad Allah ka hukm aaya "Aye paigambar! Tum apne qareebi rishtedaaron ko Allah ke azaab se daraao." Aap ﷺ ne aisa hi kiya.*
*★ Makkah ke qareeb ek pahaadi hai us ka naam "Safa" hai. Aap ﷺ us pahaadi par chadhh gaye aur Makkah waalon ko aawaaz di, jab sab log jama ho gaye to Aap ﷺ ne farmaaya : "Main pahaadi ke oopar hoon tum pahaadi ke neeche, main idhar bhi dekh raha hoon udhar bhi, (magar tumhaari nazar sirf ek taraf hai) agar main kahoon ke is pahaadi ke peechhe daakuon ki ek fauj hai jo tum par hamla karne waali hai to kya tum yaqeen karoge?"*
*★ Sab ne ek zabaan ho kar kaha, beshak Aap ooper hain har taraf dekh rahe hain, Aap Saadiq hain, Ameen hain, Aap kabhi jhoot nahin bolte, ham Aap ki baat par zaroor yaqeen kareinge.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (22) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (22)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Pahaadi ka wa'az*
*★Phir Aap ﷺ ne farmaaya : "Logo ! Yeh to samjhaane ke liye ek misaal thi. Yaqeen karo, maut tumhaare sar par khadi hai. Tumhein ek din marna hai, mar kar Allah ke paas jaana hai, apne kiye ka badla paana hai, agar tum Imaan la kar nek na ban gaye, to tum par sakht azaab naazil hoga, tum sirf duniya ko dekh rahe ho aur main aakhirat ko bhi dekh raha hoon."*
*★ Makkah waalon ne Aap ﷺ ka wa'az suna, kitni sachchi baatein theen, pyaare Rasool ﷺ ne kitne achchhe dhang se samjhaaya tha, sab Aap ﷺ ko sachcha jaante the magar is sachchi baat par yaqeen na kiya, Aap ﷺ ko bura bhala kehne lage, bura bhala kehne waalon mein Aap ka chacha Abu Lahab sab se aage aage tha, bola : Kya tum ne hamein isi liye bulaaya tha ?*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (23) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (23)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Allah ka Deen phailta raha*
*★Allah ka Deen aahista aahista phailta raha, kaafir pareshaan the, kya karein, kaise haq ki raah rokein, Muhammad ﷺ akele hain, thode se saathi hain, be yaar-o-madadgaar hain, phir bhi log un ki taraf khinch rahe hain, baap daada ka deen mit raha hai.*
*★ Sab mil kar Abu Taalib ke paas gaye, bole : Abu Taalib ! Saare khaandaan ki izzat khaak mein mil rahi hai, bhateeje ko rokiye, hamaare, aap ke ma'aboodon ko jhutla rahe hain, un ka kehna hai ke ibaadat ke laaiq sirf ek Allah hai, ham sab naadaan hain ke laat wa manaat ki pooja kar rahe hain, ab paani sar se ooncha ho raha hai. Abu Taalib ne kisi tarah un se peechha chhudaaya. Pyaare Rasool ﷺ apna kaam karte rahe Deen phailta raha.*
*★ Kaafir phir Abu Taalib ke paas aaye, daraaya dhamkaaya, jaan ka khauf dilaaya ! Abu Taalib soch mein pad gaye, bhateeje ko bulaaya kaha : Bete ! Mujh par itna bojh na daalo..... Pyaare Rasool ﷺ zara na ghabraaye, bole: Chacha jaan ! Yeh kaam to Allah ka hai, woh meri madad karega, agar yeh log mere ek haath mein sooraj aur doosre haath mein chaand la kar rakh dein tab bhi main is kaam se baaz na aaunga. Yeh keh kar aansu jaari ho gaye. Abu Taalib bhi mutaassir huwe bole : Jaao beta itminaan se apna kaam karte raho, main tumhein zaalimon ke haath mein na doonga.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (24) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (24)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Habshah ki hijrat*
*★ kaafir baraabar musalmaanon ko sataate rahe, tarah tarah dukh dete rahe, pyaare Rasool ﷺ ko sataaya, pyaare Rasool ﷺ ke pyaare saathiyon ko sataaya. Jab paani sar se ooncha ho gaya, Qur'aan padhna, Allah ki ibaadat karna, Deen par chalna, doosron ko Deen ki baatein bataana, sab do bhar ho gaya to Aap ﷺ ne musalmaanon se farmaaya : "Pyaare saathiyo ! Tum ne Deen ke liye bahot dukh sahe, ab jo chaahe Mulk-e-Habsh chala jaaye. Habsh ka baadshaah Najjaashi hai, Najjaashi bahot nek hai, wahaan koi rok nahin hai, aazaadi se Deen par amal kar sakoge, Deen phailaane ka bhi mauqa milega."*
*★ Chunaanche bahot se musalmaan ghar baar chhod kar Habshah chale gaye. Kaafiron ke zulm se tang aakar watan chhod diya, Deen ki khaatir doosre mulk mein ja base, isi ko "Hijrat" kehte hain.*
*★ Magar kaafiron ne ab bhi chain na lene diya, peechha karte Habshah pahonche, Najjaashi se shikaayat ki, musalmaan darbaar mein bulaaye gaye. Hazrat Ali RaziyAllahu anhu ke bhaai Hazrat Ja'afar RaziyAllahu Anhu the. Hazrat Ja'afar RaziyAllahu Anhu musalmaanon ke sardaar the, unhon ne Najjaashi ke darbaar mein ek taqreer ki, taqreer bahot achchhi thi.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (25) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (25)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Hazrat Ja‘afar RaziyAllahu Anhu ki taqreer*
*★ Hazrat Ja'afar RaziyAllahu Anhu ne farmaaya : Aye baadshaah ! Ham naadaan the, jaahil the, but poojte, murdaar khaate, badkaari karte. aapas mein ladte, ameer gareeb par zulm karte, na mehmaanon ki izzat hoti, na padosiyon ke saath achchha bartaao hota, bhaai bhaai se Iadta. taaqatwar kamzor ko sataata.*
*★ Allah ko ham par raham aaya, ham mein ek Rasool bheja, ham sab us se waaqif the, woh bahot hi nek tha, us he seedhi raah dikhaai, aapas mein muhabbat karna sikhaaya. Us ne hamein samjhaaya ke ham but poojna chhod dein, Allah ki lbaadat karein, sach bolein, wa'ada poora karein, buraaiyon se bachein, gunaahon se door rahein. yateemon ka maal na khaayein, zulm se baaz aa jaayein, aapas mein mil jul kar rahein. Ham ne use Nabi jaana, Allah ka Rasool maana, us ki baaton par amal kiya, hamaari qaum hamaari dushman ban gai, hamein sataane lagi. ls liye ham apna watan chhod kar yahaan chale aaye.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (26) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (26)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Hazrat Ja‘afar RaziyAllahu Anhu ki taqreer*
*★ Najjaashi ne Hazrat Ja'afar RaziyAllahu Anhu ki taqreer suni. Taqreer bahot achchhi thi, bade gaur se suna, un ki baaton ka asar Iiya, un se Qur’aan Shareef suna. Qur’aan Shareef sun kar rone lage, kaafiron ko nikalwa diya. Musalmaanon ke saath achchha bartaao kiya. Kuchh din baad khud bhi musalmaan ho gaye. Allah ki rahmat ho un par.*
*★ Pyaare Rasool ﷺ ne hijrat nahin ki, Aap ﷺ Habshah nahin gaye, Makkah mein jame rahe, dukh sehte rahe, Allah ki taraf bulaate rahe.*
*★ Aap ﷺ melon mein jaate, mandiyon mein jaate, Haj ke mauqe par jagah jagah se aaye huwe logon ko Deen ki baatein bataate. ls tarah rafta rafta Makkah ke baahar Deen phailta raha.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book*
*NEXT PART (27) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (27)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Musalmaanon ka boycott*
*★ Makkah Mukarramah mein lslaam dheere dheere phailne laga, Rozaana koi na koi lslaam qubool kar leta. Dushmanon ko bahot fikr hui, unhon ne hamaare Nabi ﷺ aur musalmaanon ka boycott kiya aur Shi'ab-e-Abi Taalib mein qaid kar diya.*
*★ Musalmaanon ko sakht takleefon ka saamna karna pada. ls ghaati mein khaane peene ke liye kuchh bhi nahin tha. Musalmaan, boodhe, bachche, aurtein sab bhook pyaas ki shiddat bardaasht karte the. Musalmaan teen saal tak isi haalat mein ghaati mein qaid rahe.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (28) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (28)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Gam ka Saal *
*★ Ghaati se najaat paane ke kuchh hi arse baad nubuwat ke daswein saal Aap ﷺ ke meharbaan chacha Abu Taalib ka inteqaal ho gaya. Abhi chacha ka gam taaza hi tha ke wafaadaar aur jaan nisaar beewi Hazrat Khadeeja RaziyAllahu anha ki bhi wafaat ho gai.*
*★ In donon waaqiaat se hamaare Nabi ﷺ ko sakht sadma pohancha. Hamaare Nabi ﷺ ne is saal ko "Gam ka saal" qaraar diya, ab Quraish ko khullam khulla sataane ka mauqa mil gaya. Pehle to Abu Taalib ke lihaaz aur Hazrat Khadeeja RaziyAllahu anha ki khaatir kuchh dabe rehte the, Iekin ab maidaan saaf tha. Mushrikeen-e-Makkah ne hamaare Nabi ﷺ k0 bahot sataana aur takleefein pohnchaana shuru kar diya.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (29) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (29)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Taaif ka safar *
*★ Makkah se taqreeban pachaas meel door ek basti hai, us ka naam Taaif hai. Makkah mein Deen ka kaam karte karte bahot din ho gaye the, Makkah ka ek ek aadmi Aap ﷺ ka dushman tha. Koi Aap ﷺ ki baat par dhyaan na deta. Aap ﷺ ne socha ke ab Taaif ja kar kyun na Allah ka pyaam sunaaun. Ho sakta hai ke wahaan kuchh log sunein aur kuchh saathi mil jaayein aur mil kar Allah ke Deen ka kaam karein. Yeh soch kar Aap ﷺ Taaif gaye.*
*★ Taaif ke log bahot bure the, unhon ne Aap ki baatein nahin suneen, Aap ﷺ ke saath bahot bura sulook kiya, pattharon se maara, gaaliyaan deein, sataane ke liye naadaan aur shareer bachche peechhe Iaga diye. Aap Iahooluhaan ho gaye, magar bad dua na ki, baraabar dua hi karte rahe ke Aye Allah ! Yeh naawaaqif hain un ko hidaayat de. Durood ho pyaare Rasool par, salaam ho pyaare Rasool par.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (30) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (30)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Me‘araaj *
*★ Hamaare Nabi ﷺ Taaif se waapas Makkah tashreef laaye aur Makkah mein phir tableeg karne lage. Musalsal takleefon ke baad Allah ki taraf se Aap par ek in'aam huwa aur Me'araaj ka azeemushshaan waaqia pesh aaya.*
*★ Nubuwwat ko das saal guzar chuke the. Ek raat hamaare Nabi ﷺ apni chachazaad behan Umme Haani ke ghar aaraam farma rahe the ke Hazrat Jibraeel عليه السلام aaye aur Aap ko me'araaj ki khushkhabri sunaai. Phir ek tez raftaar sawaari pesh ki, jis ka naam “Burraaq” tha. Jis par sawaar ho kar Aap ﷺ Makkah se Baitul Muqaddas aaye aur wahaan se saaton aasmaanon ka safar kiya, Jannat wa Jahannam ko dekha aur phir Allah Ta'ala ke darbaar mein haazir huwe, wahaan Aap ﷺ ko paanch namaazon ka tohfa mila phir Aap ﷺ usi sawaari se waapas Makkah tashreef laaye.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (31) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (31)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Madeenah Munuwwarah ki Hijrat*
*Madeenah Munawwarah Arab ka ek mash‘hoor shaher hai, yeh Makkah Mukarramah se taqreeban 455 kilo meter ke faasle par hai, Madeene mein rehne waale kuchh log but parast aur kuchh yahoodi the, but paraston ke do bade khaandaan Aus wa Khazraj the, Madeenah ke log har saal Haj ke liye Makkah jaate, pyaare Rasool ﷺ un se milte aur chupke chupke Deen ki baatein bataate, Madeenah ke log nek the, woh pyaare Rasool ﷺ ki baatein dhyaan se sunte, un mein se bahot se musalmaan ho gaye. ls tarah Allah ka Deen Madeenah pahoncha.*
*Makkah mein Deen ki baatein pohanchaate pohanchaate Aap ﷺ ko terah saal ho gaye the. Makkah waalon ne Aap ﷺ ko sataaya, jab un mein Huzoor ﷺ ki baatein sunne waala koi na raha. Ulte jaan ke darpe ho gaye. To Allah Ta'ala ne Aap ko hukm diya ke ab Madeenah ko hijrat kar jaayein. Bahot se musalmaan Madeenah ko hijrat kar chuke the.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (32) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (32)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Madeenah Munuwwarah ki Hijrat*
*★ Ek raat kaafiron ne taye kiya. Tauba tauba ! Pyaare Rasool ﷺ ko jaan se maar diya jaaye, is "Noor" ko hamesha ke liye bujha diya jaaye. Bad-bakhton ne yeh tarkeeb sochi ke har qabeele ka ek ek aadmi jama ho aur pyaare Rasool ﷺ ka ghar gher lein aur jab Aap ﷺ ghar se niklein to sab ek saath Aap ﷺ par hamla kar dein. Aap ﷺ ko jaan se maar dein, Allah Ta’ala ne Aap ﷺ ko is saazish ki khabar de di.*
*★ Aap ne apne bistar par Hazrat Ali RaziyAllahu anhu ko sula diya taake woh Aap ﷺ ke paas rakhi hui amaanatein logon ko pohancha dein aur Aap ﷺ Qur'aan Shareef ki aayatein padhte huwe ghar se nikle. Mutthhi mein kuchh kankariyaan bhar kar un ki taraf phenkeein, Allah Ta’ala ne un ki aankhon par parda daal diya aur pyaare Rasool ﷺ ko koi bhi na dekh saka.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (33) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (33)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Madeenah Munuwwarah ki Hijrat*
*★ Aap ﷺ ke sachche dost Hazrat Abu Bakr RaziyAllahu anhu bhi Aap ﷺ ke saath ho liye aur donon mil kar Madeenah ki taraf rawaana huwe. Raaste mein ek gaar hai “Gaar-e-Saur“ us mein donon chhup gaye. Kaafiron ne peechha kiya. Door door jaasoos bheje. Ek kaafir to gaar ke munh par pohancha, Hazrat Abu Bakr RaziyAllahu anhu fikr mand huwe, pyaare Rasool ﷺ ne kaha : “Daro nahin, Allah hamaare saath hai." Allah ne us kaafir ki mat maar di aur woh Aap ﷺ ko na dekh saka.*
*★ Teen din ke baad Aap ﷺ Madeenah Munavvarah ko rawaana huwe. Madeenah ke log kai din se baraabar Aap ﷺ ka intezaar kar rahe the, pahonche to log bahot khush huwe, bachchiyaan geet gaane lageen aur har ek yeh chaahta tha ke Huzoor ﷺ hamaare ghar thhehrein. Huzoor ﷺ ne farmaaya: Main waheen thhehroonga jahaan oontni ja kar baithh jaayegi, yeh sharf Hazrat Abu Ayyub Ansari RaziyAllahu anhu ko mila.*
*📗Ref: Deeniyat Course book*
*NEXT PART (34) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (34)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Hamaare Nabi ﷺ Madeenah mein*
*★ Jab se Madeenah waalon ne suna ke hamaare Nabi ﷺ aane waale hain, usi waqt se woh rozaana Madeenah se baahar nikal kar Aap ﷺ ki raah dekhte, woh bahot khush the, bachche khushi mein gali gali phir rahe the ke hamaare pyaare Nabi aarahe hain, hamaare Nabi aarahe hain, hamaare Nabi aa rahe hain (ﷺ).*
*★ Bachchiyaan apne gharon ki chhat par baithh kar Aap ﷺ ke aane ki khushi mein taraane gaati theein, jab Aap ﷺ aaye to logon ne raaste ke donon kinaaron par khade ho kar Aap ﷺ ka istiqbaal kiya, har ek ki khwaahish thi ke Huzoor ﷺ mere ghar mein qayaam karein. Hamaare Nabi ﷺ ki ootni Hazrat Abu Ayyub Ansari Raziy Allahu anhu ke ghar ke saamne thhaher gayi aur Aap ne waheein qayaam farmaaya.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (35) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (35)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Muhaajireen wa Ansaar ka aapas mein bhaai chaara*
*★ Makkah se jo musalmaan Madeenah pahonche the, yeh "Muhaajir" kehlaaye, Muhaajir sab be sar-o-saamaan the, Madeenah ke musalmaanon ne har tarah un ki madad ki, is liye yeh log "Ansaar" kehlaaye.*
*★ Rasoolullah ﷺ Ne Muhaajireen wa Ansaar mein "Mawaakhaat" qaaim ki, yaani Ansaar aur Muhaajireen ko ek doosre ka bhaai banaaya. Phir to Ansaar ne un ko rehne ke liye ghar diye, shaadi aur biyaah karaaya, kaarobaar mein shareek kiya aur har baat mein unko apne se ziyaada samajhne lage, Allah Ta'ala ne bhi un ki ta'areef farmaai hai.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (36) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (36)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Madeenah Munawwarah ke haalaat*
*★ Hamaare Nabi ﷺ ne Madeenah pahonch kar sab se pehle Allah ki ibaadat aur namaaz ke liye masjid banaai, use "Masjid-e-Nabawi" kehte hain.*
*★ Hamaare Nabi ﷺ ke Madeenah pahonchne se pehle qabeeIa-e-Aus aur Khazraj hamesha ladte rehte the, roz roz ki ladaai se woh bhi thak chuke the, is ladaai ko khatm karne ke Iiye woh chaahte the ke kisi ko apna baadshaah bana Iein, is ke liye unhon ne ek "Munaafiq" Abdullah Bin Ubai ka naam taye kiya, lekin hamaare Nabi ﷺ ke Madeenah aane ke baad woh baadshaah na ban saka, hamaare Nabi ﷺ ne Madeenah ke haalaat dekh kar yahoodiyon ke saath sulah kar Ii, yahoodiyon ne zaahir mein sulah to kar Ii lekin andar andar jalte rahe, khaas kar Abdullah Bin Ubai bahot jalta tha.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (37) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (37)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Musalmaanon ke teen dushman*
*★ Makkah Mukarramah mein musalmaanon ke dushman sirf kuffaar the, Madeenah Munawwarah mein teen dushman ho gaye; kuffaar, yahood aur munaafiqeen.*
*★ Madeenah ke yahoodi bahot maaldaar the, mulk ka saara kaarobaar unheein ke haathon mein tha, Arbon se mazdoori aur kheti baadi ka kaam lete the, sood par raqmein diya karte the aur woh mulk-e-arab ki bhalaai ke mukhaalif the.*
*★ Munaaflq woh log the jo zaahir mein kalima padh kar musalmaan ho gaye the; lekin androoni taur par woh musalmaanon ke sakht mukhaalif aur bade dushman the.*
*★ Abdullah Bin Ubai un munaafiqon ka sardaar tha, munaafiq hamaare Nabi ﷺ ko baar baar dhoka dete the, Islaam aur musalmaanon ke khilaaf saazishein karte the.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (38) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (38)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Badr aur Uhud ki ladaaiyaan*
*★ Madeenah mein musalmaanon ko hijrat ke doosre saal hi ek badi jang karni padi, yeh lslaam ki sab se pehli jang thi, us ko "Gazwa-e-Badr" kehte hain, jis mein musalmaan sirf 313 the, jab ke kuffaar-e-makkah ki ta'adaad 1000 ke qareeb thi aur un ke paas har qism ke saaz-o-saamaan aur jangi hathyaar the.*
*★ Lekin Allah ki madad se musalmaan jeet gaye aur kaafir haar gaye, is ladaai mein Abu Jahal aur Utba jaise bade bade sardaar maare gaye, Badr ke ek saal baad Uhud ki ladaai pesh aayi.*
*★ Uhud ki ladaai bahot hi sakht thi, is ladaai mein musalmaan pehle jeet gaye, kaafiron ki haar hui, khushi mein musalmaan apne pehre se hat gaye, is se musalmaanon ka bada nuqsaan huwa, hamaare Nabi ﷺ ke do daant bhi shaheed ho gaye, magar musalmaanon ne jama ho kar dobaara hamla kiya, aakhir Allah kl madad aayi kaafir bhaagne lage, musalmaanon ne unka peechha kiya aur Allah ne musalmaanon ko fatah di. ls ladaai mein 70 sahaaba-e-kiraam RaziyAllahu anhuma shaheed ho gaye.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (39) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (39)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Khandaq*
*★ Hijrat ke paanchwein saal ek aur badi Iadaai hui, usko "Gazwa-e-Khandaq" kehte hain. Kuchh yahoodiyon ne Makkah ja kar kaafiron ko musalmaanon ke khilaaf bhadkaaya, isi tarah Arab ke doosre qabeelon ko bhi Iadaai par ubhaara, sab ne mil kar 10000 faujon ka ek bhaari Iashkar tayyaar kar liya aur us ka ameer Abu Sufyaan ko muqarrar kiya.*
*★ Jab hamaare Nabi ﷺ ko is ki khabar hui, to Aap ﷺ ne Hazrat Salman Farsi RaziyAllah Anhu ke mashware se Madeenah ke ird gird khandaq khudwaai, hamaare Nabi ﷺ bhi khudaai mein sahaaba RaziyAllah Anhuma ke saath baraabar shareek rahe, kaafiron ka Iashkar jab Madeenah pahoncha, to khandaq dekh kar unko bada ta‘ajjub huwa ; kyunke yeh aisi tadbeer thi jis se Arab ke log waaqif nahin the, khandaq itni gehri aur chaudi thi ke dushman use paar na kar sake aur kuffaar ek maheene tak Madeenah ko ghere rahe, ek din bahot tez hawa chali jis se kaafiron ke khaime ukhad gaye aur kaafir bhaag khade huwe.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (40) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (40)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Sulah-e-Hudaibiya*
*★ Hamaare Nabi ﷺ aur muhaajireen ko madeenah aaye huwe 6 saal ho gaye the, un ko Makkah bahot yaad aata tha, un ki badi khwaahish thi ke Makkah Muazzama ja kar Khaana-e-Ka'aba ka tawaaf karein, lihaaza hamaare Nabi ﷺ ne apne 1400 saathiyon ke saath Umrah ka iraada farmaaya aur Madeenah se safar kar ke Makkah ke qareeb "Hudaibiya" naami kunwein ke paas qayaam kiya, kuffaar ne yeh khabar sun kar jang ki tayyaari shuru kar di,*
*★ Hamaare Nabi ﷺ ne Hazrat Usman RaziyAllahu Anhu ke zariye Makkah waalon ko yeh paigaam bheja ke ham tum se Iadne nahin aaye sirf Umrah karne aaye hain, Iekin kaafir na maane aur mukhtalif sharton ke saath sulah ke liye tayyaar huwe, jin mein se ek shart yeh thi ke is saal musalmaan waapas chale jaayein aur aainda saal aa kar Umrah karein, doosri shart yeh bhi thi ke agar koi musalmaan Makkah se Madeenah jaaye to Madeenah waale us ko waapas kar dein aur agar koi Madeenah se Makkah aaye to Makkah waale us ko waapas nahin kareinge, is mauqe par kaafiron ne jitni shartein lagaaeein, Aap ﷺ ne sab ko manzoor farma liya aur sulah kar Ii.*
*★ Shuru mein musalmaanon ko is tarah dab kar sulah karna pasand na aaya, lekin jab Allah Ta'ala ne us ko musalmaanon ke liye fatah qaraar diya to musalmaanon ke dilon ko itmenaan haasil huwa.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (41) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (41)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Fatahe Makkah Mukarramah*
*★ Sulah-e-Hudaibiya ke baad musalmaanon ko zara itmenaan huwa, tableeg-e-lslaam ke liye raaste khul gaye aur bahot saare log musalmaan hone lage, hamaare Nabi ﷺ ne is zamaane mein bahot se baadshaahon ke naam khutoot bhi likhe aur un ko lslaam ki da'awat di.*
*★ Kuffaar-e-Makkah ziyaada arse tak sulah par qaaim na reh sake aur unhon ne sulah tod di, chunaanche hamaare Nabi ﷺ8 Hijri mein 10000 musalmaanon ke saath kaafiron se muqaabla karne ke liye Makkah rawaana huwe. Kuffaar-e-Makkah musalmaanon ki shaan-o-shauqat dekh kar dar gaye aur muqaable ki himmat na kar sake.*
*★ Hamaare Nabi ﷺ Makkah mein apne sahaaba RaziyAllahu anhuma ke saath faatihaana daakhil huwe. Yeh wahi kuffaar the jinhon ne musalmaanon ko bahot takleefein di theein, tarah tarah ka zulm kiya tha aur Makkah se hijrat karne par majboor kiya tha, agar Aap ﷺ chaahte to her ek se badla Ie sakte the, lekin Aap ﷺ ne un se badla nahin liya, sab ko maaf kar diya aur farmaaya ke aaj raham wa maafi ka din hai.*
*★ Kuffaar-e-Makkah hamaare Nabi ﷺ ki khidmat mein pahonch kar maafi maangne lage, jo bhi Aap ﷺ se maafi maangta Aap ﷺ us ko maaf kar dete, us din hamaare Nabi ﷺ ne Allah ke ghar "Ka’aba" ko buton se saaf kiya aur har jaga tauheed ka na'ara buland kiya.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (42) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (42)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Hajjatul Wada *
*★ Fatahe Makkah ke baad Arab mein lslaam ka bol-baala ho gaya aur bahot se log lslaam mein daakhil hone lage, musalmaanon ki ta'adaad badhti chali gayi, hamaare Nabi ﷺ ne 10 Hijri mein apne 100000 se ziyaada sahaaba RaziyAllahu Anhuma ke saath haj kiya.*
*★ Yeh hamaare Nabi ﷺ ka aakhri haj tha, isi haj ko "Hajjatul Wada" kehte hain. ls mein hamaare Nabi ﷺ ne Arfa ke din tamaam sahaaba RaziyAllahu Anhuma ko jama kiya aur ek bahot hi muassir taqreer farmaai.*
*★ ls ke baad sahaaba RaziyAllahu Anhuma se sawaal kiya ke kya main ne tum tak Allah ka Deen pahoncha diya? Tamaam sahaaba RaziyAllahu Anhuma ne jawaab diya ke haan ! Aap ne Allah ka paigaam pahoncha diya aur apna fareeza ada kar diya.*
*★ Us ke baad hamaare Nabi ﷺ haj ke tamaam arkaan ada kar ke saare qaafle ke saath Madeenah Tayyiba laut aaye.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (43) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (43)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Hamaare Nabi ﷺ ki wafaat*
*★ Jab hamaare Nabi ﷺ ne Allah ka paigaam Allah ke bandon tak pahoncha diya aur har taraf lslaam ka kalima buland ho gaya, to Allah Ta’ala ne apne pyaare Nabi ﷺ ko apne paas bulaane ka iraada farma liya. Chunaanche safar-e-haj se lautne ke 3 maheene baad hamaare Nabi ﷺ ki tabiyat kharaab hone lagi, jab tak Aap ﷺ mein chalne ki taaqat rahi baraabar namaaz padhaane ke liye masjid mein tashreef le jaate rahe, lekin jab chalne ki taaqat khatm ho gayi to Aap ﷺ ne Hazrat Abubakr RaziyAllahu anhu ko namaaz padhaane ka hukm farmaaya,*
*★ Aap ki beemaari kam ziyaada hoti rehti thi, peer ki subah Aap ﷺ ki tabiyat kuchh sambhal gayi aur Aap ﷺ ne apne hujre ka parda uthha kar sahaaba-e-kiraam RaziyAllahu anhuma ko dekha aur muskuraaye, phir achaanak tabiyat ziyaada kharaab hone lagi aur Aap ﷺ baar baar behosh hone lage, is bechaini ke aalam mein bhi Aap ﷺ farma rahe the ke tum log namaaz kabhi na chhodna aur gulaamon se nek bartaao karna. Bil aakhir 12 Rabeeul Awwal 11 Hijri ko peer ke din Aap ﷺ ki rooh-e-mubaarak jism-e-athar se nikal gayi. lnnaa lillaahi wa innaa ilaihi raaji‘oon.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (44) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (44)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Hamaare Nabi ﷺ ke bachche*
*★ Hamaare Nabi ﷺ ke teen bete the:*
*★(1) Qaasim RaziyAllahu Anhu,*
*★( 2) Ibrahim RaziyAllahu Anhu,*
*★( 3) Abdullah RaziyAllahu Anhu.*
*★ Aur chaar betiyaan theein:*
*(1) Zainab RaziyAllahu Anha,*
*★ (2) Umme Kulsoom RaziyAllahu Anha,*
*★ (3) Ruqaiyya RaziyAllahu Anha,*
*★ (4) Fatima RaziyAllahu Anha.*
*★ Hamaare Nabi ﷺ ke tamaam beton ka bachpan hi mein inteqaal ho gaya tha aur betiyon ne umr paayi. Hamaare Nabi ﷺ apni pyaari beti Hazrat Fatima RaziyAllahu Anha se bahot muhabbat karte the, unka nikaah Hazrat Ali RaziyAllahu Anhu se huwa aur unse Hazrat Hasan RaziyAllahu Anhu aur Hazrat Husain RaziyAllahu Anhu paida huwe.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (45) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (45)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Baat cheet*
*★ Pyaare Rasool ﷺ bahot saaf saaf bolte, sunne waale Aap ﷺ ki baat achchhi tarah samajh lete, Aap ﷺ kisi ki baat ke beech na bolte, na aur kisi ko bolne dete. Jo baat achchhi na lagti us se sarfe nazar kar lete ya pyaar se samjha dete, baat karne ka tareeqa bata dete. Aap ﷺ har bar ek ki baat dhyaan se sunte, farmaaya karte ke jis ko koi zaroorat ho woh mujh se zaroor kahe, jo log paas na aasakein doosre log un ki khairiyat bataaein.*
*★ Aap ﷺ ka hukm tha ke jis tarah baadshaahon ke saamne taazeem se khada huwa jaata hai us tarah mere saamne koi khada na ho, yeh bhi farmaaya karte ke jo log apne saamne logon ko is tarah khada dekhein aur pasand kare to aise log apni jagah jahannam mein dhoondlein.*
*★ Aisa bhi hota ke pyaare Rasool ﷺ apne pyaaron ko dekhte to muhabbat ke maare uthh khade hote. Un ki peshaani choomte. Aap ﷺ ki daai Haleema RaziyAllahu Anha aateen to uthh kar un ke liye chaadar bichhaate aur un ko saamne bithhaate. Pyari beti Hazrat Faatima RaziyAllahu Anha aateen to uthh kar un ki peshaani choomte.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (46) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (46)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Baat cheet *
*★ Pyaare Sahaaba RaziyAllahu Anhuma ko samjha diya tha ke kisi ki buraai mere saamne na karein. Main chaahta hoon ke har ek se saaf dil ho kar duniya se jaaoon. Baat cheet karte waqt lslaami tehzeeb ka bada khayaal rakhte aur us ke Iiye doosron ko bhi taakeed farmaate, is baare mein ameer, gareeb sab ko tokte.*
*★ Ek baar Aap ﷺ ke saamne ek bade aadmi ko chheenk aayi, unhon ne “Alhamdulillah” nahin kaha. Phir ek gareeb aadmi ko chheenk aayi to us ne kaha “Alhamdulillah” Aap ﷺ ne us ke jawaab mein “Yarhamukallah” farmaaya (tujh par khuda ki rehmat ho). Ab un bade saaheb ne shikaayat ki ke Huzoor ne mere Iiye rehmat ki dua nahin ki. Aap ﷺ ne unhein jawaab diya ke tum ne Allah ki taareef nahin ki, main ne tum ko dua nahin di, unhon ne Allah ki taareef ki to main ne unhein dua di.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (47) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (47)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Khaatirdaari *
*★ Pyaare Nabi ﷺ apne saathiyon ke aaraam aur sukh ka bada khayaal rakhte the. Pyaare Rasool ﷺ ke ghar baahar se koi aadmi aata, chaahe woh musalmaan hota ya na hota, Aap ﷺ us ke bhi aaraam ka bada khayaal farmaate.*
*★ Aap ﷺ se milne ke liye, Aap ﷺ se Deen ki baatein seekhne ke liye, Aap ﷺ se kuchh pochne ke liye, Aap ﷺ se kuchh kehne ke liye, Aap ﷺ ko dekhne ke liye, aur bahot se kaamon ke liye log Aap ﷺ ke paas aate hi rehte the, ek ek 2 2 aur ziyaada ziyaada bhi. Aap ﷺ sab ki badi khaatir karte, unhein achchhi jagah thhehraate, unhein achchha khaana khilaate, aaraam se sulaate aur raaton ko uthh uthh kar dekhte ke mehmaanon ko koi takleef to nahin, aisa bhi hota ke Huzoor ﷺ ke ghar mein khaane ko kuchh na hota aur mehmaan aajaate, is par bhi Aap ﷺ badi khushi se mehmaanon ke khaane peene ka intezaam farmaate.*
*★ Ek baar ek yahoodi Aap ﷺ ke yahaan aaya, thhehra, us din Aap ﷺ ke ghar mein khaane ko kuchh na tha. Aap ﷺ ne ek bakri ka doodh pilaaya woh pi gaya lekin bhooka hi raha. Aap ﷺ ne ek bakri ka doodh aur pilaaya, woh phir pi gaya, lekin raha bhooka hi. Aap ﷺ ne use ek aur bakri ka doodh pilaaya. Woh, woh bhi pi gaya lekin raha bhooka hi. lsi tarah ek ek kar ke Aap ﷺ ne use 7 bakriyon ka doodh pilaaya.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (48) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (48)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Khaatirdaari *
*★ Ek baar ek shakhs Aap ﷺ ke yahaan aaya, raat ko thhehra, khaa pi kar soya to raat ko use dast aagaya. Huzoor ﷺ ne use bistar diya tha, us ne bistar ganda kar diya aur subah hone se pehle ghar se bhaag gaya, Aap ﷺ ne subah ko apne haath se bistar dhoya. Woh shakhs bhaagte waqt apni talwaar yahin bhool gaya tha, darte darte talwaar ke Iaalach mein aaya. Dekha to Huzoor ﷺ ko gandagi dhote paaya. Aap ﷺ ne use sharminda nahin kiya us ki talwaar use dedi aur use dilaasa diya. Woh shakhs Aap ke is bartaao se musalmaan ho gaya.*
*★ Pyaare Rasool ﷺ ke pyaare saathiyon mein kuchh aise the jo Deen ki baatein seekhne ke Iaalach mein har waqt Aap ﷺ ke aas paas jama rehte the. Unhein Deen ki baatein seekhne ka kitna shauq tha ke woh kamaane ke liye bhi nahin jaate the ...... Masjid-e-Nabawi ke paas ek chabootra tha. Woh sab usi chabootre par uthhte baithhte aur sote, aur har waqt pyaare Nabi ﷺ ki bataai huwi baaton ko yaad karne mein Iage rehte. Un sab ke khaane peene ki zimmedaari Huzoor ﷺ ne apne sar leli thi. Yeh sab As-haabe Suffa (Chabootre Waale) kehlaate the.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (49) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (49)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Khaatirdaari *
*★ Ek din Ashaab-e-Suffa ko ziyaada bhook Iagi thi. Pyaare Rasool ﷺ un ki haalat dekh kar bechain huwe. Apni pyaari biwi Hazrat Aaisha RaziyAllahu Anha ke ghar gaye farmaaya: “Khaane ko jo kuchh ho, laao.” Ummul Momineen Hazrat Aaisha RaziyAllahu Anha ne mote aate ka paka huwa khaana laakar rakh diya, phir kuchh chhuwaare laaeen, us ke baad doodh se bhara huwa bada pyaala diya, Aap ﷺ yeh sab As-haabe Suffa ke liye le aaye.*
*★Ek baar Aap ﷺ ke kuchh mehmaan aaye. Aap ﷺ ne ek biwi ke ghar kehla bheja ke mehmaanon ke liye khaana bhejein. Un ki biwi ke ghar khud faaqa tha. Aap ﷺ ne doosri biwi ke ghar kehla bheja. Wahaan bhi Allah ke naam ke siwa kuchh na tha. lsi tarah Aap ﷺ ne apni sab biwiyon ke ghar kehla bheja. Magar woh bechaari sab bhooki Allah Allah kar rahi theen aur kisi ke ghar mein daana tak na tha. Ab Aap ﷺ ne pyaare saathiyon se kaha: “In mehmaanon ko kaun kaun khaana khilaayega?" Ek sahaabi uthhe, bole “Main" aur woh mehmaanon ko apne ghar le aaye.*
*★ Aur aisa to bahot baar huwa ke Huzoor ﷺ ke gharon mein khaana tayyaar kiya gaya. Itne mein mehmaan aagaye to Aap ﷺ ne mehmaanon ko khaana khila diya aur ghar ke sab log bhooke hi sorahe. Kaise khaatirdaar the pyaare Rasool ﷺ.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (50) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (50)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Baraabari ka bartaao ❖*
*★ Pyaare Nabi ﷺ kisi insaan ko chhota aadmi (haqeer) nahin samajhte the, ameer ho ya gareeb, bachcha ho ya boodha, koi gulaam ho ya Iaundi, bade khaandaan waala ho ya chhote khaandaan ka, kaala ho ya gora, Aap ﷺ sab ko baraabar ka insaan samajhte the aur sab ki izzat karte the.*
*★ Ek din Aap ﷺ Sahaaba RaziyAllahu Anhuma ke saath baithe the, itne mein kaheen se doodh aagaya, Aap ﷺ ki aadat thi ke Aap ﷺ har cheez daahini taraf se baantte the. Aap ﷺ ne zarasa doodh piya, phir daahini taraf dekha, Aap ﷺ ki daahini taraf us din Hazrat Abdullah bin Abbaas RaziyAllahu Anhu baithhe the, jo abhi bachche the, Aap ﷺ ne baayeen taraf dekha to badi umr ke Sahaab RaziyAllahu Anhuma baithhe dikhaai diye, Aap ﷺ ne Abdullah bin Abbaas RaziyAllahu Anhu se kaha: “Miyaan! Haq to tumhaara hi hai lekin agar tum ijaazat do to main pehle in badi umr ke Sahaaba RaziyAllahu Anhuma ko doodh doon.” Hazrat Abdullah bin Abbaas RaziyAllahu Anhu the to kam umr, lekin Allah ne unhein soojh boojh bahot ziyaada di thi. Unhon ne dil mein socha ke pyaale mein jis jagah pyaare Rasool ﷺ ke hont chhu gaye hain, us jagah sab se pehle apne hont lagaana badi barkat ki baat hai, yeh soch kar bole: “Main yeh barkat haath se na jaane doonga,” yeh suna to Huzoor ﷺ ne doodh ka pyaala unheen ko de diya. Unhon ne 2 ek ghoont doodh usi jagah munh laga kar piya, jahaan se Huzoor ﷺ ne piya tha, us ke baad doosron ko de diya.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (51) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (51)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Baraabari ka bartaao *
*★ lsi tarah ek baar Aap ﷺ ke daahini taraf ek baddu baithha huwa tha. Aap ﷺ ne Hazrat Anas RaziyAllahu Anhu se peene ka paani maanga. Hazrat Anas RaziyAllahu Anhu ne doodh pesh kiya. Aap ﷺ ne thodasa doodh piya aur Hazrat Anas RaziyAllahu Anhu ko de kar farmaaya ke ab daahini taraf waale ka haq hai. lsi tarah Huzoor ﷺ ke baad baddu ne piya.*
*★ Sahaaba-e-Kiraam RaziyAllahu Anhuma jab mil jul kar koi kaam karte to Huzoor ﷺ bhi un mein shaamil ho jaate. Masjid-e-Nabawi banne lagi to Aap ﷺ ne sab ke saath kaam kiya. Sahaaba RaziyAllahu Anhuma rokte ke hamaari jaan Aap par qurbaan ho, Aap takleef na farmaayein lekin Huzoor ﷺ na maante. Aap ﷺ ne is mauqe par sab se ziyaada mehnat se kaam kiya, bade bade wazandaar patthar Aap ﷺ ne laakar dher kar diye, isi tarah ek baar ek khandaq khodne mein sab se ziyaada mushkil kaam Aap ﷺ ne kiya.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (52) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (52)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Baraabari ka bartaao *
*★ Ek baar Huzoor ﷺ kaheen jaarahe the, Sahaaba-e-Kiraam RaziyAllahu Anhuma saath the. Sab ek jagah thhehre, khaana pakaane ka saamaan huwa, sab ne ek ek kaam baant liya. Huzoor ﷺ ne jangal se lakdiyaan laane ka kaam apne zimme Iiya, Sahaaba RaziyAllahu Anhuma ne mana kiya ke ham to haazir hain, magar Huzoor ﷺ na maane farmaaya: “Mujhe yeh pasand nahin ke main tumhaare beech nawaab ban baithhoon. Khuda us bande ko pasand nahin karta jo apne saathiyon se alag thalag lagta ho."*
*★ Ek baar kaafiron se ladaai huwi, us ladaai ke waqt musalmaanon ke paas saamaan kam tha, oont bhi kam the, musalmaan chale to sawaari ke liye ek ek oont teen teen musalmaanon ke hisse mein aaya, sab baari baari se chadhte utarte chalte. Huzoor ﷺ ne bhi aisa hi kiya. Sahaaba RaziyAllahu anhuma ne bahot kaha ke Huzoor sawaar ho kar chalein magar Aap ﷺ ne kisi ki baari nahin Ii. Kaise achchhe the hamaare pyaare Nabi ﷺ..*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (53) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (53)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Sharm-o-Haya*
*★ Pyaare Nabi ﷺ bade hi sharmeele the. Raasta, gali aur bazaaron mein chup chaap chalte. Badan ka jo hissa kapdon se chupaane ke laaiq hota us par bada dhyaan rakhte. Thhatthha laga kar nahin hanste the. Haajat se faarig hone ke liye inti door nikal jaate ke koi dekh na sakta. Kabhi kabhi teen teen miles door chale jaate, us waqt Arab mein gharon ke andar paakhaane banaane ka riwaaj na tha.*
*★ Huzoor ﷺ ke bachpan ki woh baat sab jaante hain ke jab kaaba ki marammat hone lagi to Aap ﷺ bhi bachchon ke saath patthar dhote the, patthar dhone mein Aap ﷺ ke kandhe chhil gaye. Aap ﷺ ke chacha Abbaas RaziyAllahu Anhu ne dekha to Aap ﷺ ka tehband khol kar Aap ﷺ ke kandhe par rakh diya, ab jo Aap ﷺ ne apne aap ko nanga dekha to sharm ke maare behosh ho kar gir pade. Us zamaane mein bachche to bachche, badon mein itni sharm nahin thi, bahot se log to nange ho kar kaaba ka tawaaf karte the, koi na samajh saka ke Muhammad ﷺ kiyun behosh hogaye, sab Aap ﷺ ko hosh mein laane ki tadbeer karne lage. Aap ﷺ ko zara hosh aaya to Aap ki zabaan se nikla, "Mera tehband, mera tehband." Ab sab log samjhe ke Aap ﷺ kiyun behosh ho gaye the. Aap ﷺ ko tehband baandha gaya to Aap ﷺ ne aankhein kholeen, uthhe aur phir kaam karne lage. Kaise sharmeele the pyaare Nabi ﷺ.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (54) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (54)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Ghamand na Tha*
*★ Allah Ta’ala ne Aap ﷺ ko apna aakhri Rasool banaaya. Sab se ziyaada Aap ﷺ ko izzat di. Allah ne Aap ﷺ ko saare Arab ki hukoomat ata farmaayi, lekin Aap ﷺ mein guroor aur ghamand zara bhi na tha. Aap ﷺ ghar ka kaam kaaj khud hi kar Iete, baazaar se sauda Ie aate, doosron ka sauda bhi la dete, doodh khud doh Iete, tooti jootiyon ko khud hi gaanthh lete, gareebon aur gulaamon ke saath baithh kar khaana kha Iete.*
*★ Ek din Aap ﷺ ghar se nikle. Log Aap ﷺ ko dekh kar adab se khade ho gaye, Aap ﷺ ne mana farmaaya, saath hi yeh farmaaya: Jo shakhs yeh pasand kare ke log us ki taazeem ke Iiye khade hon, woh apna thhikaana Jahannam mein dhoonde.*
*★ Ek baar khuchh log milne aaye. Unhon ne kaha: Aap to hamaare maalik hain. Aap ﷺ ne farmaaya: "Maalik to bas Allah hai."*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (55) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (55)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Ghamand na tha*
*★ Ek paagal aurat aagai aur kaha: Aye Muhammad! Mujhe tum se kaam hai. Aap ﷺ uthh khade huwe, woh Aap ﷺ ko ek gali mein Ie gai, zameen par baithh gai, Aap ﷺ bhi zameen par baithh gaye, us ne jo kuchh kaha Aap ﷺ ne use itmenaan se suna aur us ki haajat rawaai ki. Phir jab woh uthh kar chali gai to Aap ﷺ uthhe.*
*★ Huzoor ﷺ ne Makkah fateh kiya aur jab shaher mein daakhil huwe to Aap ﷺ ek khachchar par sawaar the jis ki lagaam ki jagah khajoor ki chhaal bandhi thi aur Aap ﷺ Allah ka shukr ada kar rahe the.*
*★ Ek baar Aap ﷺ apne ek saathi ke ghar gaye. Aap ﷺ ko dekh kar kuchh bachchiyaan aagayeen. Un mein se kisi ne ek sher padha jis ka matlab yeh tha. “Ham mein ek aisa Rasool hai jo kal ki baatein jaanta hai’’ Aap ﷺ ne yeh sher suna to use padhne se rok diya kyun ke kal ki baatein Allah ke siwa koi jaanne waala nahin hai.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (56) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (56)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Ghamand na Tha*
*★ Huzoor ﷺ ke pyaare bete Ibrahim jis din Allah ko pyaare huwe us din sooraj gahen tha. Kisi ne kuchh is tarah ki baat kahi ke Nabi ﷺ ke bete ke gam mein sooraj ko garhen lag gaya. Aap ﷺ ne suna to farmaaya: "Galat hai. Soooraj aur chaand mein gahen lagna khuda ke hukm se hota hai. Kisi ki maut aur zindagi se aisa nahin hota."*
*★ Ek baar Huzoor ﷺ wuzu farma rahe the, kuchh Sahaaba RaziyAllahu Anhuma ne Aap ﷺ ke wuzu kiye huwe paani ko haathon mein le Iiya aur apne chehre par malne Iage. Aap ﷺ ne poochha: "Tum yeh kyun kar rahe ho?" Unhon ne bataaya ke Allah aur Allah ke Rasool ki muhabbbat mein aisa kar rahe hain. Aap ﷺ ne yeh sun kar farmaaya ke jo Allah ke Rasool ﷺ se muhabbat karna chaahe use chaahiye ke sach bole amaanatdaar bane aur padosi ke saath achchha bartaao kare.*
*★ Ek baar kisi ne baat karte karte keh diya ke jo khuda chaahe aur jo Aap ﷺ chaahe. Yeh sun kar Aap ﷺ ne farmaaya: "Tum ne mujh ko khuda ke baraabar us ka saajhi bana diya. kaho ke jo khuda chaahe."*
*★ Kaisi achchhi baatein bataate the Aap ﷺ. Aap ﷺ mein zara bhi to ghamand na tha.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (57) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (57)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Bahaaduri*
*★ Hazrat Anas Razi Allah Anhu fartmaate hain ke Huzoor ﷺ se ziyaada bahaadur koi nahin tha. Ek baar Madeenah mein shor sunaai diya ke dushman aagaye, un dinon ek dushman (gassaani) ke chadhaai kar dene ka bada charcha tha aur yeh khatka din raat laga rehta tha. Shor sun kar ham muqaable ke Iiye tayyaari karne lage. Koi apne ghode ki taraf Iapka, koi apna hathiyaar sambhaalne Iaga Iekin sab se pehle Huzoor ﷺ apne ghar se nikle. Jaldi mein ghode par zeen bhi na kasi, Aap ﷺ Madeenah ke aas paas ho aaye. Phir aakar farmaaya: "Ghabraao nahin koi dar ki baat nahin."*
*★ Sahaaba RaziyAllahu Anhuma mein ek se ek bahaadur Sahaabi the Iekin tamaam Sahaaba RaziyAllahu Anhuma kaha karte the ke jab ham dushmanon se ladte aur un ka dabaao ham par ziyaada hota to ham sab pyaare Nabi ﷺ ki panaah Iete the.*
*★ Badr aur Uhud ki Iadaaiyaan bahot mash-hoor hain. Donon ladaaiyon mein bade ghumsaan ka ran pada tha Iekin dushmanon se ziyaada qareeb Aap ﷺ hi the. Uhud mein Aap ﷺ bahot ziyaada zakhmi hogaye the Iekin muqaable se na hatte.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (58) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (58)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Bahaaduri*
*★ Hunain ki Iadaai mein dushmanon ne musalmaanon par aise teer barsaaye ke musalmaanon ke paaon ukhad gaye aur woh tittar bittar hogaye Huzoor ﷺ apne khachchar ko ed Iaga Iaga kar aage badha rahe the. Pyaare Sahaaba RaziyAllahu Anhuma Iagaam pakad pakad kar rokte aur kehte ke Huzoor! Dushman to Aap hi ki taak mein hai. Phir bhi Huzoor ﷺ aage badhte gaye. Hazrat Bra RaziyAllahu anhu ek bahaadur Sahaabi the, un se kisi ne poochha: "Kya tum log Hunain ki ladaai mein bhaag khade huwe the?" Unhon ne kaha: "Haan yeh sach hai lekin main gawaahi deta hoon ke Nabi ﷺ na ghabraaye, na peechhe hate. Khuda ki qasam! Jab ghumsaan ka ran padta to ham Huzoor ﷺ hi ke paas aakar panaah lete the. Ladaaiyon mein sab se ziyaada bahaadur woh samjha jaata tha jo Aap ﷺ ke saath khada rehta tha."*
*★ Hawaazin ke muqaable mein musalmaanon ke qadam ukhde aur Huzoor ﷺ akele reh gaye to Aap ﷺ ne naara maara: "Main sachcha Nabi hoon aur Abdul Muttalib ki aulaad hoon." Phir Abbaas se kaha: “Neze waalon lo pukaaro." Hazrat Abbaas RaziyAllahu Anhu Huzoor ﷺ ke ghode ki lagaam thaame huwe saath saath daud rahe the un ki aawaaz bahot buland thi. Unhon ne musalmaanon ko pukaara. musalmaan palat pade aur unhon ne ladaai jeet Ii.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (59) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (59)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Bahaaduri*
*★ Ubai bin Khalf Aap ﷺ ka Jaani dushman tha. Woh bada bahaadur aur phurteela sipaahi tha. Woh 1000 bahaaduron ke baraabar samjha jaata tha. Uhud ki Iadaai mein woh apne mazboot ghode par sawaar ho kar aaya. Woh Huzoor ﷺ ki taak mein tha. Ek baar woh ghoda udaata chala. jo saamne aaya use hata diya. Seedha Aap ﷺ par hamla karne badha. Musalmaanon ne yeh dekha to ghabra gaye. Sab badhe ke use roke.*
*★ Aap ﷺ ne farmaaya: “Aane do.” Sahaaba RaziyAllahu Anhuma alag hat gaye. Aap ﷺ neza Ie kar badhe us ke paas pahonche aur dheere se neze ki nok us ki gardan mein chubhodi. Bas itne mein woh cheekh maar kar bhaaga. Use cheekhte chillaate dekha to us ke saathiyon ne kaha: Are tu aisa bahaadur aur itni si chot kha kar buri tarah chinghaad raha hai. Us ne jawaab diya: "Haan, tum sach kehte ho. lekin yeh Muhammad ke haath ki chot hai."*
*★ Aise bahaadur the hamaare pyaare Nabi ﷺ.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (60) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (60)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Aap ﷺ sachche The*
*★ Pyaare RasooI ﷺ bade sachche the. Aap ﷺ ne kabhi koi jhoot baat zabaan se na nikaali. Aap ﷺ abhi Nabi nahin huwe the ke Arab waalon ne Aap ﷺ ko Saadiq (Sachcha) keh kar pukaara. Yeh Arab mein sab se bada khitaab tha. Jab Aap ﷺ Nabi huwe aur lsIaam phailaana shuru kiya to bahot se log Aap ﷺ ke dushman hogaye.*
*★ Dushman to hamesha taak mein rehta hi hai ke zara si baat pa jaata hai to mash-hoor kar deta hai ke fulaan aisa hai, aisa hai. Koi baat na mile to apni taraf se jhoot ghad kar keh deta hai, Iekin Nabi ﷺ ke kattar se kattar dushman ne bhi Aap ﷺ ko kabhi jhoota nahin kaha. Woh Aap ﷺ ko tarah tarah se koste the, tauba tauba! Majnoon aur shaair tak kehte, jaan lene par tule the, Iekin kisi ne yeh nahin kaha ke Muhammad ﷺ jhoote hain.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (61) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (61)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Aap ﷺ sachche The*
*★ Aap ﷺ ka sab se bada dushman Abu Jahal tha. Woh kaha karta tha ke “Aye Muhammad! Main tum ko jhoota nahin kehta. Haan tum jo yeh kehte ho us ko main thhek nahin samajhta.’’ (is ka matlab lslaam ke buniyaadi aqeedon se the jo Qur'aan pesh kar raha tha) Badr ki ladaai mein jab musalmaanon ka muqaabla Makkah ke kaafiron se huwa to qureshi lashkar mein se ek sardaar Abul Bakhtari ne Huzoor ﷺ ki taraf se ishaara kar ke Abu Jahal se poochha: “Sach bata! Yeh shakhs kesa hai?’’ Abu Jahal ne jawaab diya: “Bada hi sachcha hai.’’ Yeh Jawaab sun kar Abul Bakhtari ne kaha: “Tu phir musalmaan kiyun nahin ho jaata aur musalmaanon se kiyun ladta hai?’’ Jawaab diya: “Yeh nahin ho sakta ke main Bilaal jaise gulaamon ke saath baithhoon’’ (Hazrat Bilaal Raziyallahu anhu gulaam the aur us zamaane mein gulaamon ko bada hi zaleel samjha jata tha).*
*★ Abu Jahal ke baad Abu Sufyaan ka number tha, yeh ek baar Rome ke baadshaah Hiraql ke darbaar mein gaye. Us ne Abu Sufyaan se Huzoor ﷺ ke mutaalliq chand sawaalaat kiye, ek sawaal yeh poochha: “Tumhaare yahaan jo shakhs apne ko Nabi kehta hai, kya us ne kabhi jhoot bola?’’ Abu Sufyaan ne jawaab diya: “Nahin, Muhammad jhoote nahin hain.’’ Yeh suna to baadshaah ne kaha: “Mujhe yaqeen hai ke agar woh shakhs (Yaani Muhammad ﷺ) khuda par jhoot bolta to aadmiyon se jhoot bolne mein na chookta.’’*
*★ Sach much bade sachche the Hazrat Muhammad ﷺ.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (62) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (62)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Amaanatdaari*
*★ Pyaare Rasool ﷺ bade hi amaanatdaar the. Jo log Aap ko rupiya paisa ya saamaan rakhne ko date to Aap ﷺ us saamaan ya rupiye ko badi dekh bhaal ke saath rakhte. Use apne kaam mein na laate aur na us mein kami karte. Log baahar jaate to apni cheezein Aap ﷺ ke supurd kar jaate. Aur jab aate waisi ki waisi le lete.*
*★ Hazoor ﷺ ki amaanatdaari itni mash-hoor hogai ke Nabi hone se pehle hi log Aap ﷺ ko "Ameen" kehne lage the. Yaani bahot bada amaanatdaar. Jo log Aap ﷺ ki jaan ke dushman the woh bhi Aap ﷺ ko bada hi amaanatdaar samjhte the. Jab Aap ﷺ Makkah se Madeenah hijrat farmaane lage to bahot se kaafiron ki amaanatein Aap ﷺ ke paas theen. Chalte waqt sab Hazrat Ali RaziyAllahu Anhu ko deen aur bata diya ke kis kis ki amaanat hai taake woh un ko de dein.*
*★ Pyaare Nabi ﷺ ne ek Hadees mein farmaaya ke jo aadmi yeh chaahta hai ke Allah aur Rasool ﷺ us se muhabbat karein use chaahiye ke jab baat kare sach bole aur us ke paas amaanat rakhi jaaye to dekh bhaal rakhe aur waapas kar de.*
*★ Pyaare Nabi ﷺ ne yeh bhi farmaaya ke amaanat mein gad bad karne waala munaafiq hota hai yaani woh zabaan se chaahe apne ko musalmaan kahe lekin woh haqeeqat mein sachcha musalmaan nahin rehta.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (63) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (63)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Waade ke Sachche*
*★ Pyaare Nabi ﷺ kisi se waada karte to use zaroor poora farmaate. Jab Aap ﷺ Nabi nahi huwe the us waqt ki baat hai. Ek saahab the. Un ka naam Abdullah tha. Woh Aap ﷺ ko ek jagah mile. Len den ki koi baat hui. Unhon ne kaha: "Achchha isi jagah thhehriye, main aakar hisaab kar doonga." Yeh keh kar woh chale gaye lekin baat un ke dhyaan se utar gai. Teesre din usi taraf phir nikle dekha to Aap ﷺ waheen baithe hain. Abdullah bahot sharmaaye.*
*★ Pyaare Nabi ﷺ waade ke aise sachche the ke Aap ﷺ ke dushman bhi maante the. Ek baar Rome ke baadshaah ne Abu Sufyaan se yeh bhi poochha the ke tumhaare yahaan jo saahab apne ko Nabi kehte hain, woh waade ke sachche bhi hain? Abu Sufyaan us waqt Huzoor ﷺ ke jaani dushman the lekin unhon ne baadshaah ke saamne iqraar kiya ke Muhammad waade ke sachche hain ﷺ.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (64) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (64)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Waade ke Sachche*
*★ Badr ke maidaan mein musalmaanon ki Makkah ke kaafiron se ghumsaan ki ladaai hui, musalmaanon ki taadaad sirf 313 aur kaafiron ki taadaad 1000 thi usi zamaane mein kuchh musalmaan Makkah se aarahe the. Makkah ke kaafiron ne un ko roka aur kaha ke tum Muhammad (ﷺ) ke paas jaarahe ho, unhon ne inkaar kiya, kaafiron ne is waade par chhoda ke ladaai mein Muhammad (ﷺ) ka saath na doge, unhon ne maan liya, phir Huzoor ﷺ ke paas aaye, saara haal kaha. Aap ﷺ ne farmaaya: “Jab tum ne ladaai mein shareek na hone ka waada kiya hai to tum jaao, hamein sirf Allah ki madad chaahiye.”*
*★ Jab Aap ﷺ ne Makkah fatah kiya to bahot se log musalmaan ho gaye. Bahot se log bhaag gaye. Musalmaan hone waalon ne apne ghar waalon ki maafi ke liye kaha. Huzoor ﷺ ne waada farma liya. Phir jab bhaagne waale waapas aaye to Aap ﷺ he unhein sach much maaf farma diya, haalaanke un mein Aap ﷺ ke bade bade dushman the. Safwaan bin Umayyah, Ikrama bin Abi Jahal aur aise hi doosre log. Aap ﷺ ki is maafi se sab musalmaan ho gaye. Allah un sab se razi ho.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (65) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (65)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Buraai ke badle bhalaai*
*★ Pyaare Rasool ﷺ ke saath koi buraai karta to Aap ﷺ use maaf farma dete. Maaf hi nahin balke buraai ka badla bhalaai se dete. Aap ﷺ ka yeh tareeqa zindagi bhar raha. Aaye din Aap ﷺ apne dushmanon ko maaf kar dete.*
*★ Huzoor ﷺ jab Makkah mein the to ek baar Taaif gaye. Aap ﷺ ne wahaan ke logon se kaha: “Allah ko ek maano mujhe us ka Rasool jaano. Aakhirat ki pakad se daro. Buton ki pooja se parhez karo. Buraaiyaan chhodo aur Allah se rishta jodo.’’ Yeh sun kar Taaif waale bigad gaye. Aap ﷺ ko bahot bura bhala kaha, aawaara ladkon ko Aap ﷺ ke peechhe laga diya unhon ne Aap ﷺ par patthar barsaaye jis se Aap ﷺ lahu lahaan ho gaye. Aap ﷺ chotein kha kar gir pade. Aap ﷺ ke khaadim Hazrat Zaid bin Haarisa RaziyAllahu anhu Aap ﷺ ko uthha kar ek baag mein le gaye. Unhon ne Aap ﷺ se kaha: Huzoor! Aap Taaif waalon ke liye bad dua kiyun nahin kar dete? Aap ﷺ ne haath uthhaaye aur bad dua ke badle Taaif waalon ke liye Allah se dua ki ke aye Allah! Unhein maaf kar de. Yeh kuchh jaante nahin, aakhirat ko maante nahin, aye Allah unhein bakhsh de.*
*★ ls dua ka yeh asar huwa ke aage chal kar Taaif waale musalmaan ho gaye aur un mein bade bade bahaadur log paida huwe aur phir un logon ne islaam ko khoob phailaaya.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (66) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (66)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Buraai ke badle bhalaai*
*★ Zaid bin Sa'nah ek yahoodi tha, ek baar Huzoor ﷺ ne us se qarz liya aur ada karne ki ek taareekh taye ki, magar woh taareekh se pehle hi maangne aagaya. Us ne bhari mehfil mein Huzoor ﷺ ka girebaan pakda aur Aap ﷺ ko bura bhala kehne laga ke tum taal matol kar ke meri raqm maar loge is baat par Hazrat Umar RaziyAllahu anhu ko sakht gussa aaya, bole: “O Allah ke dushman! Tu Allah ke Rasool ke baare mein aisi buri baat kehta hai?”*
*★ Nabi ﷺ muskuraaye, Hazrat Umar RaziyAllahu anhu se farmaaya: Aye Umar! Tum ko chaahiye tha ke mujh se kehte ke qarza ada kardo aur us se kehte ke saleeqe se taqaaza karo, Aye Umar! Inhein lejaao aur jitna haq is ka banta hai woh de do aur jo tum ne is ko dhamkaaya hai us ke badle use 20 saa (saa ek wazan hota hai) khajoorein aur do.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (67) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (67)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Buraai ke badle bhalaai*
*★ Ek baar ek baddu aaya, woh masjid mein aakar khade khade peshaab karne laga. Log daude ke use peetein Aap ﷺ ne farmaaya: “Jaane do aur peshaab par paani bahaado aur dekho! Allah ne tumhein narmi ke liye bheja hai, sakhti ke liye nahin.”*
*★ Ek baar ek baddu aaya. Us ne aate hi Huzoor ﷺ ki chaadar is zor se kheenchi ke pyaare Rasool ﷺ ki gardan laal hogai aur badi sakhti se kaha ke Allah ka jo maal aapke paas hai, us mein se mujhe bhi do, Aap ﷺ ne us ki taraf mud kar dekha aur muskura kar farmaaya: ise kuchh dedo.*
*★ Ek baar Makkah waalon ne Aap ﷺ ka boycott kar diya. Na kuchh khaane ko dete aur na kuchh aur zaroorat ki cheezein Aap ﷺ ke paas jaane dete. Huzoor ﷺ ke saath bachche, aurtein aur boodhe bhook ke maare tadapte. 3 baras tak isi tarah boycott raha. Jab Aap ﷺ Madeenah aaye to Yamaama ke raees Sumaama musalmaan hogaye. Unhon ne ek baar qasm khaali ke pyaare Rasool ﷺ ki ijaazat ke bagair Makkah waalon ko ek daana bhi na diya jaayega. Makkah mein galla waheen se aata tha. Ab to Makkah mein qahat pad gaya. Makkah waalon ne ghabra kar Huzoor ﷺ se kaha, Huzoor ﷺ ko taras aagaya aur kehla bheja ke Sumaama! Galla bhej do.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (68) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (68)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Buraai ke badle bhalaai*
*★ Makkah ke kaafir musalmanon ko kaisa sataate the. Dopahar ke waqt tapti huwi ret mein lita dete. Paani mein dupkiyaan dete, maarte peette aur qatl kar dete. Hazrat Khabbaab RaziyAllahu ahnu ko jalte huwe koylon par lita diya, jis se un ki peethh jal gai aur charbi nikal gai. Woh gusse mein aaye. Huzoor ﷺ se kaha: “Ya Rasoolallah ! In ke liye bad dua kijiye.” Yeh sunte hi Huzoor ﷺ ka chehra laal ho gaya. Aur kuchh musalmaanon ne bhi bad dua karne ko kaha. Aap ﷺ ne farmaaya: “Main duniya mein rehmat bana kar bheja gaya hoon, zehmat bana kar nahin.’’*
*★ Hazrat Abu Hurairah RaziyAllahu anhu ki maan musalmaan nahin hui theen. Woh roz Huzoor ﷺ ko gaaliyaan diya karteen. Yeh gaaliyaan sun kar Hazrat Abu Hurairah RaziyAllahu anhu ko bada dukh hota. Unhon ne aakar Huzoor ﷺ se kaha: “Meri maan ke liye dua kijiye.’’ Aap ﷺ ne un ke liye musalmaan hone ki dua ki. To Hazrat Abu Hurairah RaziyAllahu anhu khush ho gaye, daude daude ghar gaye, maaloom hua ke maan to naha rahi hai. Nahaane ke baad apne aap musalmaan hogaeen. Unhon ne Kalima-e-Shahaadat padh liya.*
*Ashhadu allaailaahaa illallaahu wa ashhadu anna muhammadan abduhoo wa rasooluhoo*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (69) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (69)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Bachchon se pyaar*
*★ Pyaare Rasool ﷺ bachchon se muhabbat karte the. Aap ﷺ kaheen jaate hote, raaste mein bachche milte to Aap ﷺ unhein apne saath sawaari par kisi ko aage aur kisi ko peechhe bithha lete. Un se achchhi achchhi baatein karte. Khajoorein ya un ke dene ke laaiq kuchh cheez hoti to unhein baantte. Unhein pyaar karte. Ek baar ek baddu ne dekha to bola: “Aap bachchon ko pyaar karte hain? Mere 10 bachche hain, maine kabhi kisi ko pyaar nahin kiya.” Aap ﷺ ne famaaya: “Agar Allah tumhaare dil se rahem chheen le to main kya karoon.”*
*★ Ek din Aap ﷺ ke paas ek sahaabi Hazrat Khaalid bin Saeed RaziyAllahu anhu aaye. Un ke saath un ki bachchi bhi thi. Us bachchi ka naam Umme Khaalid tha. Bachchi aakar Huzoor ﷺ ke kandhon se khelne lagi. Hazrat Khaalid ne daanta lekin Huzoor ﷺ ne mana farmaaya.*
*★ Huzoor ﷺ ke ek gulaam the; Zaid, Aap ﷺ ne Zaid RaziyAllahu Anhu ko paala tha. Zaid RaziyAllahu Anhu ke bete Usaama RaziyAllahu Anhu the. Usaama se Huzoor ﷺ ko muhabbat thi. Farmaaya karte ke Usaama agar beti hote to main use zewar pehnaata aur apne haathon us ki naak saaf karta.*
*★ Ek baar Eid ke din Aap ﷺ munh dhaank kar lete huwe the. Kuchh bachchiyaan ghar mein aaeen aur daf bajaane lageen, itne mein Hazrat Abu Bakr RaziyAllahu Anhu aaye. Unhon ne bachchiyon ko daanta. Huzoor ﷺ ne suna. Aap ﷺ ne munh par se chaadar hataai aur farmaaya : “Un ko khushi manaane do, aaj un ki Eid hai.”*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (70) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (70)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Narm dili*
*★ Pyaare Nabi ﷺ dil ke bade narm the. Dukh ki baat hoti to Aap ﷺ ka dil bhar aata aur aansu nikal aate.*
*★ Ek baar ek sahaabi ne apna puraana qissa sunaaya jab woh musalmaan nahin huwe the ke meri ek chhoti bachchi thi. Hamaare khandaan mein ladkiyon ke maar daalne ka tareeqa chala aata tha. Main ne bhi apni ladki ko zinda dafan kar diya. Woh abba abba pukaar rahi thi aur main us par mitti daal raha tha.*
*★ Pyaare Rasool ﷺ yeh sun kar ro pade. Aap ﷺ ne un se kaha: Phir sunaao, unhon ne phir sunaaya to Aap ﷺ phir roye. Itna roye ke chehra aansuon se tar ho gaya.*
*★ Ek ladaai mein kuchh qaidi haath aaye to Aap ﷺ ne Sahabaa RaziyAllahu Anhuma se farmaaya ke un ke saath bhalaai ka muaamla karo aur achchha sulook karo.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (71) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (71)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Narm dili*
*★ Ek baar Hazrat Sa'd bin Ubaada RaziyAllahu anhu beemaar huwe, Aap ﷺ un ko dekhne gaye to Aap ﷺ ka dil bhar aaya aur Aap ﷺ rone lage, Aap ﷺ ko rota dekh kar log ro pade.*
*★ Hazrat Mus'ab bin Umair RaziyAllahu Anhu Makkah ke ek raees ke bete the. Bade laad pyaar se paale gaye the. Jawaan hone par musalmaan ho gaye to maan baap dushman ho gaye, maara peeta, qaid kar diya. Ghar se nikaal diya. Ek din Hazrat Mus'ab bin Umair RaziyAllahu Anhu Huzoor ﷺ ke paas aaye to sab ne dekha ke resham ke kapdon ke badle woh ek kambal odhe huwe the, woh bhi phata huwa tha, yeh dekh kar Huzoor ﷺ ko bada dukh huwa, Aap ﷺ ne gardan jhukaali.*
*★ Ek baar ek sahaabi aaye. Woh chaadar mein chidya ke bachchon ko chhupaaye huwe the. Aap ﷺ ne hukm diya: “Jaao! Unhein jahaan se laaye ho, waheen rakh aao.”*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (72) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (72)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Narm dili*
*★ Ek baar Aap ﷺ safar mein the. Raaste mein thhere to ek shakhs ne ek chidya ke ghonsle se us ka anda nikaal liya. Chidya ande ke maare par maarne lagi. Huzoor ﷺ ne dekha to farmaaya: “Ande waheen rakh do.”*
*★ Ek baar ek bhooke oont ko dekha to farmaaya: “In bezabaanon ke baare mein bhi khuda se daro.” Jaanwaron par agar koi ziyaada bojh laadta to Aap ﷺ mana farma dete.*
*★ Ek baar Aap ﷺ ke ghar mein kuchh aurtein ikatthhi theen. Yeh sab aurtein rishtedaar theen aur badh badh kar baatein kar rahi theen. Itne mein Hazrat Umar RaziyAllahu Anhu aaye to sab uthh kar chal deen. Huzoor ﷺ hans pade. Hazrat Umar RaziyAllahu Anhu ne kaha: “Allah aap ko hamesha hansta rakhe! Aap kyun hanse?” Farmaaya: “Mujhe in aurton par hansi aayi ke tumhaari aawaaz sunte hi chal deen.” Ab Hazrat Umar RaziyAllahu Anhu ne un aurton se kaha: “Tum mujh se itna darti ho aur Huzoor ﷺ se nahin darti?” Aurton ne jawaab diya: “Pyaare Rasool ﷺ tum se ziyaada narm dil hain.”*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (73) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (73)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Afw wa darguzar*
*★ Allah ka Deen phailaane ke silsile mein kaafiron ne Aap ﷺ ko gaaliyaan deen. Aap ﷺ ki hansi udaai. Aap ﷺ ko bura kaha. Aap ﷺ ko maara peeta. Aap ﷺ ko sataaya. Aap ﷺ ka boycott kiya. Qatl karne ki koshishein keen. Lekin jab Allah ne Aap ﷺ ko taaqat wa galba ata kiya to Aap ﷺ ne kisi se badla nahin liya. Aisi bahot si baaton mein se kuchh baatein suniye.*
*★ Hazrat Hamzah RaziyAllahu Anhu Aap ﷺ ke pyaare chacha the. Bade bahaadur aadmi the. Islaam ke liye kaafiron se khoob lade, un ke saamne Huzoor ﷺ ko koi bura kehta to lad padte, kaafiron ke bade bade sardaar un ke haathon maare gaye. Ek ladaai mein wahshi ne chhup kar Aap RaziyAllahu anhu ko shaheed kar diya. Hazrat Hamzah RaziyAllahu Anhu ke marne ka Huzoor ﷺ ko umr bhar gam raha.*
*★ Phir jab Makkah fateh hogaya to wahshi Huzoor ﷺ ki khidmat mein aaya aur maafi maangi. Wahshi ko dekh kar Huzoor ﷺ ko chacha yaad aagaye. Aap ﷺ ne un se sirf yeh kaha: “Achchha jaao, maaf kar diya, lekin ab mere saamne na aana, tum ko dekh kar chacha Hamzah yaad aa jaate hain.” Abu Sufyaan ki biwi Hinda ne Hazrat Hamzah RaziyAllahu Anhu ka seena cheer kar gusse mein kaleja chaba daala aur naak kaan kaat kar haar banaaya lekin jab Hinda ne aakar maafi maangi to use bhi maaf kar diya.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (74) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (74)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Afw wa darguzar*
*★ Hubaar bin Aswad Huzoor ﷺ ka kattar dushman tha. Huzoor ﷺ ki pyaari beti Hazrat Zainab RaziyAllahu Anha Makkah se Madeenah ko hijrat karne lagi to Hubaar dauda aur un ko oont par se gira diya. Hazrat Zainab RaziyAllahu Anha ke itni chot aayi ke woh zinda na reh sakeen lekin jab us ne aakar maafi maangi to use bhi maafi dedi.*
*★ Huzoor ﷺ hijrat ke liye Makkah se nikle to Makkah ke kaafiron ne yeh elaan kiya ke jo Muhammad ka sar kaat laaye, use surkh baalon waale 100 oont inaam mein diye jaaeinge. Laalchi kaafir daud pade. Ek kaafir tha “Suraaqa”, woh ghode par sawaar huwa Huzoor ko talaash karta huwa paas pahonch gaya. Chaaha ke waar kare ke us ka ghoda ghutnon tak baalu mein dhans gaya. Ghode se utar kar lagaam pakad kar ghode ko kheencha. Ghode ko baalu se nikaala phir badha lekin ghoda phir ghutnon tak dhans gaya. 3 baar aisa hi huwa. Ab woh ghabraaya. Us ne maafi maangi, Aap ﷺ ne use bhi maafi de di.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (75) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (75)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Jism-e-Mubaarak*
*★ Pyaare Nabi ﷺ na ziyaada lambe the na chhote qad. Na ziyaada duble the na mote. Aap ﷺ ka sar bada tha, peshaani chaudi, naak lambaai liye huwe, bhawein ghani, palkein lambi, aankhein badi badi aur surmageen, daadhi bhari huwi, gardan oonchi aur chehra khada khada tha. Aap ﷺ ke chehre par ziyaada gosht na tha. Aap ﷺ ke baal na ziyaada ghungriyaale the aur na bilkul seedhe. Aakhir umr tak baal bilkul kaale rahe. Aap ﷺ un mein aksar tel daalte. kanghi karte aur maang nikaalte the.*
*★ Aap ﷺ ke donon shaanon ke beech-o-beech kabootar ke ande ke baraabar ubhra huwa surkh gosht tha, jis par til aur baal the. Donon shaane gosht se bhare huwe the, mondhon ki haddiyaan badi thien, hatheliyaan chaudi aur narm, kalaaiyaan lambi aur naazuk, paaon ki ediyaan halki theen. Paaon ke talwe beech se zara zara khaali the. Talwon ke beech se paani nikal jaaya karta tha. Huzoor ﷺ ke jism-e-mubaarak ki jild badi narm aur mulaayam thi.*
*★ Rang roop gora chatta surkhi ki jhalak liye huwe tha. Aap ﷺ bade hi khoobsoorat the. Jo dekhta us ke dil mein Aap ﷺ ki muhabbat paida hojaati. Aap ﷺ ka paseena moti ki tarah jhalakta aur us mein badi achchhi khusbu aati. Huzoor ﷺ badi tez chaal chalte the. Chalte waqt aisa maaloom hota ke jaise Aap ﷺ dhalwaan zameen se utar reahe hain.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (76) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (76)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Akhlaaq wa Aadaat*
*★ Hamaare Nabi ﷺ sab se muhabbat se milte the, Aap kisi ko bura bhala nahin kehte the.*
*★ Hamaare Nabi ﷺ bahot bahaadur aur taaqatwar the.*
*★ Hamaare Nabi ﷺ mazboot iraade waale aur buland himmat the.*
*★ Hamaare Nabi ﷺ bahot sakhi the, kabhi kisi ko khaali haath nahin lautaate the.*
*★ Hamaare Nabi ﷺ kabhi apni zaat ke liye kisi se badla nahin lete the.*
*★ Hamaare Nabi ﷺ takleef pahonchaane waalon ke liye duaa-e-khair karte the.*
*★ Hamaare Nabi ﷺ susti aur kaahili ko bahot na pasand farmaate the.*
*★ Hamaare Nabi ﷺ ameer-o-gareeb, aaqaa-o-gulaam har ek ke saath baraabari ka sulook karte the.*
*★ Hamaare Nabi ﷺ apne oopar zulm karne waalon ko maaf kar diya karte the.*
*★ Hamaare Nabi ﷺ bahot sharmeele the, hamesha nigaah neechi rakhte the.*
*★ Hamaare Nabi ﷺ khaane peene aur pehanne mein saadgi ikhtiyaar karte the.*
*★ Hamaare Nabi ﷺ bahot mehmaan nawaaz the.*
*★ Hamaare Nabi ﷺ musee-baton aur aazma-aishon par sabr karte the.*
*★ Hamaare Nabi ﷺ Allah ki bahot ziyaada ibaadat karte the.*
*★ Hamaare Nabi ﷺ ghar ke chhote mote kaam khud kar liya karte the.*
*★ Hamaare Nabi ﷺ safaai ko pasand karte the aur gandagi se nafrat karte the.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (77) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (77)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Sawaal Jawaab*
*★ Seerat ke is mazmoon ke tahat Islaami Maaloomaat ke tarz par sawaal-o-jawaab ka hi andaaz ikhtiyaar kiya gaya hai. Hamaare Nabi ﷺ ki zindagi ke baare mein un baaton ko jama kiya gaya hai jin ka jaanna bahot zaroori hai.*
*★ In tamaam sawaalaat ke jawaabaat ko ijtemaai taur par yaad kara diye jaayein.*
*★ Sawaal : Nabi kise kehte hain?*
*★ Jawaab : Nabi Allah Ta'ala ke nek bande hote hain, jo Allah Ta'ala ke ahkaam Allah ke bandon tak pahonchaate hain.*
*★ Sawaal : Hamaare Nabi ka naam kya hai?*
*★ Jawaab : Hamaare Nabi ka naam Hazrat Muhammad ﷺ hai.*
*(📓Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/237)*
*★ Sawaal Hamaare Nabi ﷺ kahaan paida huwe?*
*★ Jawaab : Hamaare Nabi ﷺ Makkah Mukarramah mein paida huwe.*
*(📓A'alaamun Nubuvva : 1/198)*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (78) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (78)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Sawaal Jawaab*
*★ Sawaal : Hamaare Nabi ﷺ kab paida huwe?*
*★ Jawaab : Hamaare Nabi ﷺ Rabi-ul-Awwal ke maheene mein peer ke din paida huwe.*
*(📓 Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/294)*
*★ Sawaal : Hamaare Nabi ﷺ ke waalid ka naam kya hai?*
*★ Jawaab : Hamaare Nabi ﷺ ke waalid ka naam Abdullaah hai.*
*(📓Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/294)*
*★ Sawaal : Hamaare Nabi ﷺ Ki waalida ka naam kya hai?*
*★ Jawaab : Hamaare Nabi ﷺ ki waalida ka naam Aamina hai.*
*(📓Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/305)*
*★ Sawaal : Hamaare Nabi ﷺ ke dada ka naam kya hai?*
*★ Jawaab : Hamaare Nabi ﷺ ke dada ka naam Abdul Muttalib hai.*
*(📓Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/305)*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (79) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (79)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Sawaal Jawaab*
*★ Sawaal : Hamaare Nabi ﷺ ke chacha (jinhon ne Aap ﷺ ki parwarish ki) ka naam kya hai?*
*★ Jawaab :Hamaare Nabi ﷺ ke chacha ka naam (jinhon ne Aap ﷺ ki parwarish ki) Abu Taalib hai.*
*📓[Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/318]*
*★ Sawaal : Hamaare Nabi ﷺ ke kitne bete the?*
*★ Jawaab : Hamaare Nabi ﷺ ke teen bete the;*
*(1) Abdullaah RaziyAllahu Anhu,*
*(2) Qaasim RaziyAllahu Anhu,*
*(3) Ibraheem RaziyAllahu Anhu.*
*📓[Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/264]*
*★ Sawaal : Hamaare Nabi ﷺ ki kitni betiyaan theein?*
*★ Jawaab : Hamaare Nabi ﷺ ki chaar betiyaan theein;*
*(1) Zainab RaziyAllahu Anha,*
*(2) Ruqaiyya RaziyAllahu Anha,*
*(3) Umme Kulsum RaziyAllahu Anha,*
*(4) Faatima RaziyAllahu Anha.*
*📓[Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/264]*
*★ Sawaal : Hamaare Nabi ﷺ ki umr mubaarak kitni thi?*
*★ Jawaab : Hamaare Nabi ﷺ ki umr mubaarak 63 saal thi.*
*📓[Sahih Bukhaari : 4466]'*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (80) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (80)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Sawaal Jawaab*
*★ Sawaal : Hamaare Nabi ﷺ ko nubuvvat kab mili?*
*★ Jawaab : Hamaare Nabi ﷺ ko nubuvvat 40 saal ki umr mein mili.*
*[Sahih Bukhaari : 3851]*
*★ Sawaal : Arab ke log hamaare Nabi ﷺ ko kya kehte the?*
*★ Jawaab : Arab ke log hamaare Nabi ﷺ ko Saadiq (sachcha) aur Ameen (amaanatdaar) kehte the.*
*[Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/94]*
*★ Sawaal : Hamaare Nabi ﷺ Makkah mein kitne saal rahe?*
*★ Jawaab : Hamaare Nabi ﷺ Makkah mein 53 saal rahe.*
*[Sahih Bukhaari : 3851]*
*★ Sawaal : Sab se aakhri nabi kaun hain?*
*★ Jawaab : Sab se aakhri nabi Hazrat Muhammad ﷺ hain.*
*[Abu Daawood : 4252]*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (81) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (81)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Sawaal Jawaab*
*★ Sawaal : Hamaare Nabi ﷺ Madinah mein kitne saal rahe?*
*★ Jawaab : Hamaare Nabi ﷺ Madinah mein 10 saal rahe.*
*(📓Sahih Bukhaari : 3851)*
*★ Sawaal : Kya hamaare Nabi ﷺ ke baad koi nabi aayega?*
*★ Jawaab : Hamaare Nabi ﷺ ke baad koi nabi nahin aayega.*
*(📓Abu Daawood : 4252)*
*★ Sawaal : Jin logon par nabi bheje jaate hain un logon ko kya kaha jaata hai?*
*★ Jawaab : Jin logon par nabi bheje jaate hain un logon ko us nabi ki ummat kaha jaata hai.*
*(📓Alqamoos-ul-Muheet : Lafz Ummah)*
*★ Sawaal : Ham kis Nabi ki ummat hain?*
*★ Jawaab : Ham Hazrat Muhammad ﷺ ki ummat hain.*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (82) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (82)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Sawaal Jawaab*
*★ Sawaal : Hamaare Nabi ﷺ ka ta‘alluq Arab ke kis qabeele se hai?*
*★ Jawaab :Hamaare Nabi ﷺ ka ta'alluq Arab ke qabeele "Quraish" se hai.*
*[Timizi : 3606]*
*★ Sawaal : Hamaare Nabi ﷺ ke naana ka naam kya hai?*
*★ Jawaab :Hamaare Nabi ﷺ ke naana ka naam "Wahab Bin Abde Munaaf" hai.*
*[Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/238]*
*★ Sawaal : Hamaare Nabi ﷺ ki naani ka naam kya hai?*
*★ Jawaab : Hamaara Nabi ﷺ ki naani ka naam "Barrah" hai.*
*(📓 Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/238)*
*★ Sawaal : Hamaare Nabi ﷺ ke waalid ka inteqaal kab huwa?*
*★ Jawaab : Hamaare Nabi ﷺ ke waalid ka inteqaal hamaare Nabi ﷺ ki paidaaish se pehle huwa.*
*(📓Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/294)*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (83) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (83)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Sawaal Jawaab*
*★ Sawaal :Waalida ke inteqaal ke waqt hamaare Nabi ﷺ ki umr kitni thi?*
*★ Jawaab : Waalida ke inteqaal ke waqt hamaare Nabi ﷺ ki umr chhe saal thi.*
*(📓Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/305)*
*★ Sawaal : Waalida ke inteqaal ka baad hamaare Nabi ﷺ kis ke paas rahe?*
*★ Jawaab : Waalida ke inteqaal ke baad hamaare Nabi ﷺ apne daada Abdul Muttalib ke paas rahe.*
*(📓Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/306)*
*★ Sawaal : Daada ke inteqaal ke waqt hamaare Nabi ﷺ ki umr kitni thi?*
*★ Jawaab : Daada ke inteqaal ke waqt hamaare Nabi ﷺ ki umr aathh saal thi.*
*(📓Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/307)*
*★ Sawaal : Daada ke inteqaal ke baad hamaare Nabi ﷺ kis ke paas rahe?*
*★ Jawaab : Daada ke inteqaal ke baad hamaare Nabi ﷺ apne chacha Abu Taalib ke paas rahe.*
*(📓Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/318)*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (84) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (84)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Sawaal Jawaab*
*★ Sawaal : Hamaare Nabi ﷺ ki daadi ka naam kya hai?*
*★ Jawaab :Hamaare Nabi ﷺ ki daadi ka naam Faatima hai.*
*(📓Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/318)*
*★ Sawaal :Hamaare Nabi ﷺ par pehli aayat kahaan naazil hui?*
*★ Jawaab : Hamaare Nabi ﷺ par pehli aayat "Gaar-e-Hira" mein naazil hui.*
*(📓Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 2/70)*
*★ Sawaal : Hamaare Nabi ﷺ Gaar-e-Hira main kya karte the?*
*★ Jawaab : Hamaare Nabi ﷺ Gaar -e-Hira mein Allah Ta'ala ki ibaadat karte the.*
*(Sahih Bukhaari : 3)*
*★ Sawaal : Dean ki khaatir ek jagah chhod kar doosri jagah chale jaane ko kya kehte hain?*
*★ Jawaab : Deen ki khaatir ek jagah chhod kar doosri jagah chale jaane ko "Hijrat" kehte hain.*
*(📓Tafseer-e-Qurtubi : 10/107]*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (85) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (85)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Sawaal Jawaab*
*★ Sawaal : Musalmaan sab se pehle hijrat kar ke kahaan gaye?*
*★ Jawaab : Musalmaan sab se pehle hijrat kar ke mulk-e-"Habshah" gaye.*
*(Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 2/164)*
*★ Sawaal : Musalmaan doosri hijrat kar ke kahaan gaye?*
*★ Jawaab : Musalmaan doosri hijrat kar ke "Madeenah Munavvarah" gaye.*
*(Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 2/314)*
*★ Sawaal : Hamaare Nabi ﷺ ne kis maheene mein hijrat farmaayi?*
*★ Jawaab : Hamaare Nabi ﷺ me Rabiul awwal ke maheene mein hijrat farmaayi.*
*(Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 2/232)*
*★ Sawaal : Madeenah Munavvarah mein Islaam kab phaila?*
*★ Jawaab : Madeenah Munavvarah mein Islaam hijrat se 2 saal pehle phaila.*
*(Seerat-e-Halabiyah: 2/499)*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (86) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (86)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Sawaal Jawaab*
*★ Sawaal : Hijrat ke waqt hamaare Nabi ﷺ ke saath kaun the?*
*★ Jawaab : Hijrat ke waqt hamaare Nabi ﷺ ke saath Hazrat Abu bakr RaziyAllahu Anhu the.*
*(Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 3/11)*
*★ Sawaal : Hamaare Nab ﷺ Madeenah Munavvarah shaher mein kis din daakhil huwe?*
*★ Jawaab : Hamaare Nabi ﷺ Madeenah Munavvarah shaher mein juma ke din daakhil huwe.*
*(📓Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 3/22)*
*★ Sawaal : Madeenah Munawarah mein hamaare Nabi ﷺ kin ke mehmaan rahe?*
*★ Jawaab : Madeenah Munawarah mein hamaare Nabi ﷺ Hazrat Abu Ayyub Ansaari RaziyAllahu Anhu ke mehmaan rahe.*
*(Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 3/24)*
*★ Sawaal : Hamaare Nabi ﷺ ne Madeenah Munavvarah pahonch kar pehla kaam kya kiya?*
*★ Jawaab : Hamaare Nabi ﷺ ne Madeenah Munavvarah pahonch kar sab se pehle masjid banwaane ka kaam kiya.*
*(📓 Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 3/24)*
*★ Sawaal : Us masjid ko kya kehte hain?*
*★ Jawaab : Us masjid ko "Masjid-e-Nabavi" kehte hain.*
*(Mirqaatul Mafaateeh: 2/417)*
*《..Last - 87, Soon insha Allah..》*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (87) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
🍃🍃
*BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM*
*❉ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ✿ ╤╤╤╤╤╤╤╤ ❉*
*🌹SEERAT UN NABI🌹*
*POST NO (86)*
*•─━━━━━══════━━━━━─•*
*·•●✿ Sawaal Jawaab*
*★ Sawaal : Hijrat ke waqt hamaare Nabi ﷺ ke saath kaun the?*
*★ Jawaab : Hijrat ke waqt hamaare Nabi ﷺ ke saath Hazrat Abu bakr RaziyAllahu Anhu the.*
*(Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 3/11)*
*★ Sawaal : Hamaare Nab ﷺ Madeenah Munavvarah shaher mein kis din daakhil huwe?*
*★ Jawaab : Hamaare Nabi ﷺ Madeenah Munavvarah shaher mein juma ke din daakhil huwe.*
*(📓Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 3/22)*
*★ Sawaal : Madeenah Munawarah mein hamaare Nabi ﷺ kin ke mehmaan rahe?*
*★ Jawaab : Madeenah Munawarah mein hamaare Nabi ﷺ Hazrat Abu Ayyub Ansaari RaziyAllahu Anhu ke mehmaan rahe.*
*(Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 3/24)*
*★ Sawaal : Hamaare Nabi ﷺ ne Madeenah Munavvarah pahonch kar pehla kaam kya kiya?*
*★ Jawaab : Hamaare Nabi ﷺ ne Madeenah Munavvarah pahonch kar sab se pehle masjid banwaane ka kaam kiya.*
*(📓 Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 3/24)*
*★ Sawaal : Us masjid ko kya kehte hain?*
*★ Jawaab : Us masjid ko "Masjid-e-Nabavi" kehte hain.*
*(Mirqaatul Mafaateeh: 2/417)*
*《..Last - 87, Soon insha Allah..》*
*(📗Ref: Deeniyat Course book)*
*NEXT PART (87) In'Sha ALLAH*
•─━━━━━══════━━━━━─•
→ *ƑOƦWΑƦD TO ALL GROUPS*
━═─────────────────═━
💧💧
No comments:
Post a Comment